DARK
Season 1 Episode 1 : Secrets Recap( हिंदी
मे समझिए )
DARK ek German bhasha ka Netflix Tv Series hai jisaka first season December 2017 mai aaya thaa. Mere hisaab se ye time travel aur alternate reality par bani ab tak ki behatareen show hai. jiska dusaraa season bhi june 21 2019 ko release kiya gaya hai.
Is
show ke characters alag alag timelines par hai aur alag alag actors
ne unhe nibhaya hai. hum ek hi character ka bachapan,youth aur old
age bhi dekhate hai. Timelines ke saath ki setting, dress, social aur
moral conditions sab par bada dhyana diya gaya hai.Ye ek sci-fi based
thriller hai. Kahani Winden naamak ek chota shehar mai shuru
hota hai jahan par ek Nuclear Power Plant hai.ye Nuclear plant shehar
ke jyaadaatar logon ko job deta hai.
Us plant ke paas caves, ki ek
series hai jo ek WORMHOLE (iske baaren mai baad mai)ko apane andar
chupaaya hai. isi WORMHOLE ke madad se time travel kiya jaasakta
hai.Kahani 2019 mai shuru hoti hai aur 1986, 1953 tak jaati hai. Is
shahar mai bachhe laapata hoten hai.isaki investigations ka effect
kayi families aur timelines par padataa hai.
Series
mai kayi saare charecters hai par leading role mai hai Jonas
Khanwald. Ye ek teenager hai jo apane pita ke death ki maayusi mai
jirahaa hai. Ulrich Neilsan ek middle age police officer hai jisaka
bhai 1986 mai laapata hogaya thaa.Charlotte Doppler winden police
chief hai jo apane marital issues se jujarahi hai.
RECAP
---- Shuru Karten Hai Shuruvaat Se
Opening
Voiceover
Hamko
lagta hai time linear hai. Ye ek anthhin anath mai samaan-roop se
beheta reheataa hai.lekin sachhayi yehi hai ki past, present aur
future me phark sirph ek bhram hai. kal aaj aur kal ek samaan nahi
hai. vo sabhi judi huvi hai, ek kabhi na khatma honewaale loop mai.
Sab kuch juda huva hai - The Clockmaker.
Voiceover
ke dauraan camera ek room ke diwaar par lagi photos ko dikhata hai.
vahan par shehar ke sabhi important logon ki photo's ko dikhaya jaata
hai. Vo photo's ko diwaar par ek dhage se, apane family relations ke
hisaab se connected kiya gaya thaa.niche usaki image diyagaya hai aap
check kijiye. different actors different characters ko different
timelines par nibhaaten hai to isliye ye image samajhane mai aasan
hogi.
ye
photos ek purani underground bunker mai hai jisaka importance hame
baad mai pataa chalega.
JUNE
21 2019
Michael
Khanwald, ek painter,ek chitti likhata hai aur use paas mai rakhi
table par rakhataa hai. baad mai vo ek stool par khada hokar apane
aap ko latakaakar suiside karta hai.
Us
chitti ke upar likha tha : ise November 21 ke 10:13 PM tak na kholaa
jaaya.
Baad
mai camera vahan ki photos par ghumata hai jahan Michael, usaki patni
Hannah, usaki maa Ines aur teenage beta Jonas ki tasviiren thi.
Jonas
Khanwald nind se uthataa hai. Use har baar kayi bure sapane aarahe
the. uskeliye vo medication leta hai.
November
4 2019
Jonas
early morning niche aataa hai aur dekhataa hai ki, electricity
chaligayi hai. vo fridge kholake dekhata hai, vahan saara khana sad
chuka thaa. vo ab apane maa ko aawaas lagaataa hai.
Usaki
maa, Hannah ek shaadi shudaa police officer Ulrich Nielsen ke saath
sex kar rahi thii. vo dono apana kaama khatm karte hai.Ulrich use
raat mai,school mai honewaali meeting mai aanekeliye kehetaa
hai.Hannah thoda hich-kichaa thi hai kyunki vahan par usaki biwi ,
Katharina, jo school ki principal thi, vo meeting conduct karnewaali
thi. Ulrich phir bhi use force kartaa hai.
Baad
mai Ulrich Dusari manzil ki khidaki se, khambe ke sahaare niche
aakar, jogging karte apane ghar ko jaataa hai.
Jonas
apane cycle par kachhe raaste se, nuclear power plant ke paas se
jaataa hai. vo vahan par, ek electric pole par lagi ek teenager Erik
Obendorf ki, 'Missing Child'ki notice ko padata hai. Vo ladaka
lag-bhag usaki age ka tha aur usake red hairs thi.
Jonas
baad mai apane therapist Piter Doppler se milataa hai.Piter ki
savaalon se hame pataa chalataa hai ki Jonas pichale do mahine se ek
mental hospital mai thaa aur vahan par usaki intence treatment ho
rahi thi. Piter usako kehetaa hai ki usane usaki reports padhi hai,
group sessions mai usane kaaphi achhi progress kiya hai. Vo Jonas ko
medication time par lene ko kehetaa hai. mai
Lekin
Jonas abhi bhi apane pita ke suiside se sadme mai thaa. Abhi bhi use
raat ko usaki pitaa ke sapane aate the. Usako lagtaa tha usake pita
use kuch kehenaa chaahate the. Piter puchataa hai ki tum ko kya
lagtaa hai vo kaun si baata hogi jo Michel kehena charahaa hoga?
Jonas ko thoda gussa aataa hai. vo keheta hai yahi baat mujhe
pareshaan kar rahi hai. Ab vo vahaan se chalaa jaataa hai.
Jonas
apane pita ko bahut miss kar rahaa tha. Hannah Ko dekhakar lagta hai
ki undono mai se Michel hi Jonas ke karib thaa aur use jyaada pyar
kartaa thaa. Jonas ko Michel ke chitti ke baaren mai pataa nahi thaa.
Ines,
Michael ki mother and Jonas ki grandmother thi . usine us letter ko
pichale 4.5 mahine se chupaake rakha tha jo Michel marne ke waqt
likha tha. Aaj hi ke raat ko Michael ne use kholane keliye bhi kaha
tha. isliye wo subha-subha raat ka intazaar kar rahi thi.
Ines
radio on karti hai, Radio par
Winden
Power plant ki lambi history hai. Isaki planning 1953 mai shuru
huvi.Automic Energy Act ko paas karne ke baad, construction 1960 mai
shuru huvi.Ab government ki policy ke tehat is plant ko agale saal
band kiyaa jayega.Is plant ka puri germany mai bina koyi
failure ke kaam karne ka record hai.
Ulrich
jogging karke apane ghar jaataa hai jahan usaki patni Katharina,
bachhe Magnus,Martha aur Mikkel hai. unke sabse Chote bete ka naam
Mikkel hai aur uski Ruchi magic tricks mei hai. wo apne skeleton wale
costume ko pahan kar,School ko jana chahta tha. Ulrich use school ko
jane Se Pahle 1 magic trick Dikhane ke liye Kehta Hai. Mikkel chess
game ki ek pawn ko ek cup ke andar daalata hai aur use doosre cup se
Bahar nikaalta hai. Jab ulrich use puchta hai ki usne Aisa kaise kiya
toh Mikkel batata hai ki Sawali ye Nahin hai Ki Main Kaise Kiya Sawal
hai ki meine kab kia.
Therapy
ke baad jonahs School Kho jata hai. Jahan Par Sabhi log usko ghur
rahe the. Bartosz ab unsabhi students par chillakar unhe wahan se
bhagaataa hai. Usane sabhi Ko Kaha Tha ki Jonas 2 mahine ke liye
France gaya tha exchange program ke tahat.
Jab
Ulrich police station par Aata Hai wahan par Eric Obendrof ke Mata
Pita charlotte Doppler se complaint kar rahe the. unko police
se jawab chahiye tha. Chalotte unhe Puri Shanti se batati hai ki voh
Unki case par kaam kar rahe hain lekin Abhi Tak kuch tthos Haath Mein
Nahin Laga Hai. unke Paas koi bhi naya lead Nahin Hai.unhone 172
interviews Kiya Hai,Har Jagah poster lagaya hai, Sab Ko alert par
Rakha Hai. lagbhag 83 officer ko kaam par lagaya hai aur 50 volunteer
ko bhi kaam par lagaya hai fir bhi kuch Hasil Nahin ho raha hai.
ab
Ulrich bich mei
bolta hai ki Shayad Eric ghar se bhag gaya hoga. usne pahle bhi Aisa
Kiya Hai.Ispar Erik ki maa rote hue kehti hai ki woh kabhi do din se
upar Nahin gaya hai. Ab tera din ho gaye hain. Wo wahan par rote rote
hi gir jati hai.
Aab
ek ajnabee jiska chehra Dhaka hua tha wo winden caves se bahar
nikalta hai.
School ke classes shuru hone se pehele , school ki principal , Katharina saare students aur teachers ki ek meeting bulaati hai. Martha, Bartoz aur Jonas ke dekhati hai aur Bartoz ke bagal mei aake baitha jaati hai. Bartoz , Jonas se keheta hai ki jab tum baahar gaye the ek badalaav zarur huva hai. ab vo martha ko kiss karata hai. Jonas ko kuch samaj mei nahi aata kyunki jab vo gaya tha tab tak vo aur martha " deep love" mei the , ab achaanak kya hogaya ki vo Bartoz ko date karne lag gayi?. Jonas apane gusse ko chupaane ki koshish kartaa hai.
Katharina
meeting mei keheti hai ki vo Erik ke laapata hone ke baaren mei baat
karna chaahati hai. Wo keheti hai ki yaadi kisi bhi student ko Erik
ke baaren mei kuch bhi pataa ho to wo teacher's ko bina dar ke bataa
sakten hai.
HOLLYWOOD
MOVIE HINDI MAI , HOLLYWOOD KI FILM, HOLLYWOOD DUBBED MOVIES
Police
Station par , Ulrich aur Charlotte Erik ke case se hairaan the. Unke
paas koi bhi lead nahi thi. aisa lag raha tha ki Erik hava mei gaayab
hogaya ho. Charlotte, Ulrich ko bataati hai ki Windan mei aisi
ghatanayen peheli bhi hochuki hai. Ulrich thoda naaraz hokar keheta
hai ki, Erik ka case se usake bhai ke case se dur dur tak koyi
sambhand nahi hai.Phir vo vahan se chalaa jaata hai. Ulrich ka 10
saal ka bhai, Meds, bhi 1986 mei aise gaayab hogaya tha.
School
ke science class mei, Franziska BlackHole's par ek presentation deti
hai. Bartoz, Jonas ko Erik par chalrahi latest theory ke baaren mei
bataataa hai. Wo keheta hai ki Erik ek drug dealer tha jo windan
caves ke paas se apana kaam kartaa tha. kisine use drug deal ke
kaaran maar daala hoga. Bartoz keheta hai ki Erik ka drugs caves ke
paas hi hoga, yadi vo log use dhunda lenge to vo khud hi drugs
bechakar paise kamaasakten hai. Aisa lagtaa hai ki Bartoz ne
Erik ke saath jo kuch bhi huva usase kuch nahi sikha.
Ulrich baad mei apane maa , Jana Nielsen se milane usake ghar jaataa hai jahan Wo Ulrich ke pitaa, Tronte Nielsen ke saath rehati thi. Ulrich aur usaki maa ki banti nahi thi. Lekin aaj , Jana ek important baat kehene keliye Ulrich ko apane ghar bulaaya thaa. Wo keheti hai " Aaj meine jangal mei phir se dekha, Wo badi si kaali chiza ko , usaka sar bhi bahut bada thaa. Isbaar meine bilkul saapha dekha. Tum mera yakin nahi karoge. Is duniya mei aisi kayi chizen hai jo saamanya dimaaga ke palle nahi padata. Mujhe aaj jangal mei ye mila, Wo use Raider Candy ke Wrapper deti hai aur keheti hai , Ye Candy Meds ki favourite thi. Tumhe wo ladka Erik, ke baaren mei sab pataa hai na. Wo bhi tumhaare bhai ki Tarah gaayab huva hai. Sab kuch repeat ro rahi hai, jaise 33 years pehele huva tha. "
Ulrich use sunkar dukhi hotaa hai aur use lagtaa hai ki usaki maa, old age ke kaaran ,dhire dhire paagal ho rahi hai.
Winden ki Old age home mei, Helge Doppler, ek Oldman(70+) jo Pitar Doppler ka pita hai aur Charlotte Doppler ka Father-In-Law hai vo ek hi baath " Aaj phir se hoga " ko baar baar doharaarahaa thaa. Old Helge Ko dementia thaa.
Erik Obendorf abhi bhi zinda hai, wo ek bina khidaki ke room mei hai,vo bed par soya hai. Us room ke dewaaron ko cartoon ke characters se decorate kiya gaya hai. Room ke beech mei ek TV hai jispar 1984 ka video song " You Spin Me Right Around " play ho raha hai. Usake saamne ek wooden chair hai.
School me bachhe Erik ke last drug package ko caves ke paas dhundane ki plan banaaten hei. Ab wo Martha aur Magnus ko bhi apane plan mei shaamil karleten hai. Ulrich, Hannah ko apani petrol car se hi phone karta hai, us waqt Hannah Nuclear Plant jaarahi thi. Hannah nuclear plant mei ek massagist ke tor par kaam karti thi. Ulrich use raat mei school ki meeting mei aane keliye force karta hai. Lekin Hannah abhi bhi sure nahi hai kyunki use lagta hai sabhi log usase, usaki husband Michel ke suiside ke baaren mei baat karne lagenge.
Katharina ab ghar mei dinning room ko clean karti hai. Jab vo Ulrich ki subaha ki kapade ko uthaati hai to use ek brown colour ka lamba baal miltaa hai. Use thoda shak hota hai. Wo kapade ko sung kar dekhati hai to usaka chehera ek dum phika padta hai. Use Ulrich par shak hota hai.
Nuclear Power plant mei Hannah ka, massage keliye appointment, plant ke director Aleksander Tiedemann ke saathanthaa. Jo Bartoz ke pita hai aur hotel owner Regina ka pati hai. Aleksander 33 saal pehele Winden shehar aayaa tha. Agale saal plant band hone waala tha isliye wo pareshaan bhi thaa. Baad mein wo Hannah ko Michael ki suiside par santvana deta hai, usake aur Jonas ki haalat ke baaren mei bhi puchataa hai.
Ines Kahanwald jo Jonas ki daadi aur Hannah ki saas thi, Wo phone ki voicemail par Hannah ki recording sunti hai. Jahan Hannah keheti hai ki uske yahan bhi bijali chali gayi hai. Wo sidhe sidhe puchati hai ki yadi usako, wo log usake ghar mei rehena pasand nahi hai bataa do. Hannnah pichale 3 mahine se Ines, Jonas ko milane na aane par bhi kosati hai. Wo kehati hai Michael yadi zinda hota to vo isase dukhi hota.

Micheal ki suiside ki letter ko dekhati hai. abhi ghadi mei time
6.14PM hai. Leter ko open karne me abhi 4 ghnten baaki hai. Isi wajah
se vo Jonas se milane nahi gayi thi.
Raat me Hannah school ki meeting attend karne jaati hai. First wo Katharina se milti hai aur wo puchati hai ki, kaise ho. Hannah use ek formal jawaab deti hai. Katharina ko Hannah ki affair ke baaren mei pataa nahi tha, wo ab bhi Hannah ko ek achhi dost maanti thi.
Jonas apani bistar par pada tha. Jab time hota hai tab wo apane cycle se caves ki aur jaataa hai. Wahan par Martha pehele se hi thi. Wo keheti hai ki abhi koyi nahi aayaa, sab late hai, as usual.
Martha use, usaki aur Bartosz ke naye riste ke baaren mei explain karne ki koshish karti hai par Jonas use rok deta hai. Phir bhi Martha keheti hai ki usane kayi baar usako text message likhi par kabhi send nahi karpaayi. Use hamesha laga kuch toh galat horahaa hai.Us par Jonas sarcastic joke karta hai ki shaayad Matrix film ki glitch ki tarah hoga. Jonas kaaphi dukhi thaa.
Bartosz, Magnus aur Mikkel tabhi vahan aaten hai. Mikkel ki babysitting ki duty aaj Magnus ki thi kyunki roz ki babysitter lady aaj bimaar thi. Ab vo sabhi caves ki aur jaaten hai.
Charlotte's ki father in law Helge dopler, road par chillata jaaraha thaa " aaj phir se hoga.aaj phir se hoga.aaj phir se hoga."
School ki meeting par,Charlotte Doppler, police Chief Erik ki case ki saari updates deti hai.Erik 14 days se missing tha aur koi leads bhi nahi milrahi thi. Katharina ab school mei liye gaye nayi security measures ke baaren mei bataa ti hai.Regina jisaki hotel ki business is case se kaaphi mandi mei chalaagaya tha wo keheti hai ki sabi log kham ma khaa panic kar rahen hai. Winden ek peaceful shehar hai. Yahan crime rates hamesha low rahi hai. Wo Charlotte ki aur dekhakar usase us baat ko confirm karvane ka ishara karti hai. Reigina ko toh sirpha apane hotel ki padi thii, is case ke wajah se winden ki shehar badnaam ho rahi thi aur usaka prabhav hotel par pad raha thaa.
Charlotte Regina ko keheti hai ki statistics puri kahani nahi bataati. Ab katharina aur Regina isi baat par thoda ladten hai.
Hannah ko Ulrich ka text message aataa hai to chupke se meetings se nikaljaati hai.
Mikkel ab sab se puchataa hai ki Erik ke saath kya huva hai. Wo keheta hai ki usake classmates ka kehena hai ki kisine Erik ko kidnapped kar liya hai. Use kisi basement mei banda karke rakha hai. ab wo wahan trap hogaya hai. baahar nahi aasakta. Mikkel puchata hai ki kyun koi kisi ko kidnap karta hai?
Ispar uska bada bhai Magnus keheta hai ki use aise useless rumors par dhyan nahi dena chaahiye. Martha use keheti hai ki duniya mei bahut saare bure log bhi hoten hai.sabhi bachhe caves ki aur jaa rahe the.
Dusari aur school ki meeting mei katharina aur Regina abhi bhi argue kar rahe the. Tabhi Helge Doppleer wahan aataa hai. Wo ab bhi vahi baat doharaarahaa thaa " Aaj phir se hoga" Wo Katharina se puchata hai ki kya ab der hogayi hai? Katharina koi jawaab nahi deti kyunki use kuch samaj me nahi aataa. Charlotte use bahu use wahan se lejaati hai.
Ines apane ghar mei time 10.14PM hone ka intazaar kar rahi thi. Jab ghadi mei 10.13PM hota hai wo, Micheal ki letter ko khol ke padti hai. Aur wo use padkar dung reha jaati hai. aur rone lag ti hai.
Ab
saare bachhe caves ki entry point par aaten hai. Bartoz vahan par
padi huvi ek purani armchair ke niche aur aaspaas Erik ki drugs ko
dhundata hai. Lekin use wo nahi milti.Tabhi caves ke under se
Franziska aati hai aur keheti hai ki drugs usake paas hai. Wo use
aadhe daam mei bechane ko taiyaar thii. Par Bartosz usko niche giraa
kar jabardasti usake haath se drugs ko chinata hai.
Bartosz ne Martha ko Jonas ke baaren mei jhoot bola thaa taaki wo Jonas ko chodkar usake paas aajaaye. Ab wo drugs ko jabardasti chinataa hai kyunki ki usane maan liya thaa ki wo usaka hai. Isase Bartosz ki character ke baaren mei hame kaaphi kuch pataa chaltaa hai.
Tabhi wahan par caves ke under so ek loud sound sunaayi deti hai. Sab ki flash lights off hoti hai.Sabhi bachhe wahan se bhagane lagten hai. Magnus aur Maartha Mikkel ko bhul hi jaaten hai aur bas daudane lagten hai.
Mikkel Jonas ke paas khada thaa. Jonas ab Mikkel ke haath ko pakadkar daudane lagtaa hai. Kuch der baad vo ek pathhar se ttokar khane ke kaaran niche girtaa hai. tabhi Mikkel usake haath se chut jaataa hai. Jab usaki flash light waapas aati hai to dekhata hai ki Mikkel gaayab hogaya hai.
Jonas idhar udhar dekhata hai. Mikkel ko aawaaz lagaata hai . tabhi usake uske pita ki ek parachaayi dikhayi deti hai. Unke chehare se khun tapak rahaa thaa. Jonas use dekhakar dar jaata hai aur wahan se bhaag jaata hai.
Jab Jonas baaki bachhon se milta hai to use pataa chaltaa hai ki Mikkel laapata hogaya hai. Ab saare bachhe Mikkel ko dhundane phir se caves ki aur jaaten hai. tabhi jor se baarish aanaa shuru hotaa hai.

Jab Charlotte aur Helge school se waapas aarahe the tab Helge baarish ko dekhakar keheta hai " Ab bahut der hogayi hai. Ham ab isako nahi rok sakte" Saare parents ko Mikkel laapata hone ki khabar text message se milti hai.
The police, parents ab bachhon se milten hai. Bachhe saari kahani bataaten hai. Ulrich apane bete ko dhundane waapas caves ki aur jaata hai. par use kuch nahi milta. Saare log raat bhar dhundaten hai par kisiko Mikkel nahi milta.
Agali subha bhi investigations chaalu thi. Charlotte personally site par khada hoke monitor kar rahi thi. Ab usako uske pati Pitar ( therapist ) ka phone aataa hai. Wo kaaphi nervous thaa, wo kuch bataanaa chahataa thaa, par Charlotte stess ke kaaran impatient thi, wo uske call ko cut kar deti hai.
Police ab ek line banaakar puri jangal ki taalaashi kar rahe the taaki koyi bhi evidence mil sake. Tabhi unko caves se kuch hi dur par ek bachhe ki body milti hai. usake pure body par mitti thi. Charlotte ko lagta hai ki wo Mikkel ki body hosakti hai par vo confirm karnaa chaahati thii. Isiliye wo Ulrich ko identify karne keliye bulaati hai.
Ulrich dekhata hai wo bachha ek bright colour ki sneakers shirt aur jeans pants pehene huvaa tha. Mikkel pichale din ek skeleton ki costume pehena huvaa thaa.Thodi aur baariki se dekhane par unhe pataa chalta hai ki wo bachha Mikkel nahi hai. Us bachhe ki ankhe puri Tarah se jail huvi thi.
Toh ab ye bachha kyun hai?
Hum agale scene mei dekhaten hai ki Erik Obendorf ko ek chair se bandha gaya hai. Usake muh kobhi bhi kapade se band kiya hai. Ek rotating machine usake ankhon ke saamane aati hai.
Aur ye episode yahin khatma hoti hai. aise hi interesting articles ko padhane keliye hamare blog ko follow kijiye. niche/bagal mei follow icon hai use click kijiye taaki agali episode aasani se aapko milsake.HOLLYWOOD MOVIE HINDI MAI , HOLLYWOOD KI FILM, HOLLYWOOD DUBBED MOVIES
Comments
Post a Comment