Dark Waters In Hinglish
Dark
Waters is saal aayi sabse daraavani films me se ek hai. Ye koi horror
film nahi hai balki sachhi ghatanaa pe aadhaarit hai. Ye sachhi
ghatanaa itanaa daraavanaa hai ki, pehele toh logon ne ispar vishvaas
hi nahi huvaa. lekin kayi saalon ke scientific studies ke baad ab us
sachhayi ko sabhi log maanatein hai.
Film
ki shuruvaat Robert Billot naam ke ek environmental corporate lawyer
ke saath shuru hotaa hai. Billot, Taft
Stettinius & Hollister law firm me , bade
bade chemical companies ko represents kartaa thaa , jinpar
environmental laws ke tehet case daalaa gayaa ho. Usaki achhi
naukari, achhi wife aur ek beta bhi thaa. Salary bhi achhi thi. USA
ke Ohia state ke Cincinnati sheher me uskaa office aur ghar thaa.
Saal
1998 me, Wilbur Tennant naam ka ek kisaan Billot ke office aataa hai.
Tennant, Billot ke daadi ka jaan pehechaan vaala thaa , isliye daadi
ne use Billot ke paas bhejaa thaa. Tennant ke paas aakar usko
kuch videotapes detaa hai aur kehetaa hai .
Tennant
: mere saare cows mar rahein hai. mujhe lagtaa hai ki mere khet ke
paas jo DuPont ki chemical factory hai usi ki vajah se ye sab horahaa
hai. me unpar case karnaa chaahataa hun. tum meraa case lado.
Bilot
ek badaa corporate lawyer thaa aur uski law firm ka besic kaam DuPont
jaise bade companies ko bachaanaa thaa naaki un par hi case karnaa.
Ye hi baat vo Tennant ko bhi bataataa hai aur uskaa case lene se
manaa kartaa hai. Tennant gusse se aur niraasha hokar vahana se
chalaa jaataa hai.
Kuch
din baad Billot apane daadi se milne jaataa hai. daadi ab
usephir se Tennant ki case lene keliye dabaav dalati hai. At least
uski khet ko, ek vist dene ko keheti hai. Billot ab Tennant ki farm
house ko jaataa hai.
Tennant
: Mera bhai, town ke lagbhag 90% logon ki tarah DuPont me kaam kartaa
thaa. DuPont ne hamse zameen kharidi aur us zameen ko dumping ground
ke taur par use kiyaa. unhone underground water ko aur paas me beheti
nadi ko bhi pollute kiyaa hai. mere 190 gaayen ( cows ) kisi na kisi
bimaari se mar rahi hai. Doctors ko bhi unki bimaari pataa nahi lag
rahaa. maine ne unki autopsy karvaayi,toh kuche ki hare kidney
nikali, kuch ki kaale daanth nikale, kuch ke ander cancer har jagah
thaa. Vo apani gaayon ki kabarsthan ko dikhaataa hai jahan
usane usko daphanaayaa thaa.
Billot
case ki gambhirataa ko dekhakar case lene keliye taiyaar hotaa hai.
Apane boss Tom Terp ko yakin dilaataa hai ki ye ek small side project
hogaa.
Attorneys
ki ek party me Billot, DuPont ke legal department ke head Phil
Donnelly ko Tennant ka case ke baarein me bataa hai. Donnelly kehetaa
hai vo iske baarein me kuch nahi jaanataa par phir be apane tarf se
har mumkin madad karne kaa vaadaa kartaa hai. Donnelly use kehetaa ki
unki company EPA ( Environmental Protection Agency joki america ke
sarkaari agency hai jo environment ko bachaane kaa kaam karti hai) ki
har regulations ko follwo kartein hai.
Billot
DuPont ko legal discovery ka notice bhejke saare legal documents
haasil kartaa hai. Un documents me DuPont me banane vaale chemicals,
waste ko dispose karne ke tarike sab kuch bilkul rule ke hisaab se hi
thaa. Par ek chemical PFOA kaa jikra har jagah aarahaa thaa, jiskaa
full form ya koyi bhi detail usme shaamil nahi thaa. Billot PFOA ka
teerm internet pe search kar ke jaanane ki koshish kartaa hai par use
kuch haasil nahi hotaa. Ek saal tak un documents ko padhakar bhi case
aage nahi jaa rahaa thaa.
Ab
Billot phir se ek party me Donnelly se “ PFOA “ ke baarein me
puchataa hai. Donnelly us term ko sunte hi bhadk jaataa hai, Billot
ko gaali detaa hai , use desi gavaaran kehetaa hai. Sab ke beech ki
gayi insult Billot ko uske wife sarah ko buraa lagtaa hai.
Ab
Billot officially DuPont par case kartaa hai. Ab DuPont truck bharke
saare documents bhejatein taaki, Billot un documents ko padane ke
bajaaya Tennant ke saath aakar aasani se settlement kar le. Par Billot
case ko follow kartaa hai.Vo ek chemical expert ko hire karke
puchataa hai ki PFOA kya hai? Expert kehetaa hai
Expert
: Mujhe PFOA ke baare me pataa nahi hai par PFOS ke baarein me pataa
hai. PFOS yaani perfluorooctanesulfonate , ye ek synthetic chemical
hai jo kabhi nahi destroy hotaa. Hum aise chemicals ko “ Forever
Chemicals “ kehetein hai. Iska kayi upayoga hai, fabric industry
me, paper, wax, varnish, paints, cleaning etc etc. Inhe caarbon atoms
ko jodke banaayaa jaataa hai.
Billot
: kya yadi 8 caron atoms ko jodke aisa koyi chemical banaayaa jaaye
to use C8 kahenge? Kya hoga yadi insaan ke body ke under ye chalaa
jaaye?
Expert:
bilkul 8 carbon atoms ko jodke chemical banaayaa jaasaktaa hai. Yadi
koyi tyre khaataa hai toh kya hotaa hai ? Pataa nahi , vaise hi koyi
nahi jaanataa yadi ye chemicals body ke under gaye toh kya karenge?
Billot
agale do saal un documents ko pad kar apani report banaataa hai.
Usaki personal life bhi is case se prabhavit huvi thi. Uske bachhe
bade ho rahe the, par vo unko time nahi de paa rahaa thaa. Udhar
Tennat aur uski family kobhi, town ke saare logon ne bahishkaar kiyaa
thaa. Usa ke parivaar se koi baat nahi kar rahaa thaa, even church
me bhi. Us town ke lag bhag sabhi family rozgaar keliye DuPont par hi
nirbhar the, ye us par hi case kar rahaa thaa. DuPont ne Tennat ke
ghar chori karvaayaa thaa aur kuch ahem documents ki choraalitaa thaa. Tennat ko daraa ne keliye helicopter se uske ghar ki aur khet ki
photos le rahaa thaa. Ek din Tennat bhi gusse me apana gun lekar, us
helicopter par chalaataa hai aur unhen bhagaataa hai.
Ek
raat Billot apane ghar ke kitchen ke saamaan, carpet sab kuch phad
rahaa thaa. Uske pregnant wife sahah ko lagtaa hai ki vo isa case ke
wazaha se paagal ho gayaa hai. Billot ab use saare kahaani kehetaa
hai.
Billot
: DuPont ek chemical banaatein hai jiskaa technical naam hai PFOA/
C8, aam log use “ TEFLON” ke naam se jaanateein hai. 1950’s me
iskaa use army ke tanks me hotaa thaa, uske baad unhone ise american
consumer goods banaane me karne lage. Insaan aur jaanvaron par is
chemical ke effect ko study kiyaa. Study me paayaa ki ye
jaanvaron me cancer paidaa kartaa hai, insaan ko iske dhuven se flu
aataa hai. Unhone apane pregnant women employee par is chemical ka
secret tarike se apply karke study kiyaa. Sabhi auraton ne vikalang
bachhon ko janm diyaa. Uske baad DuPont Teflon ke waste ko Tennant ke
khet ke paas , nadi me dump karne lage taaki isase kisi ko bhi
pareshaani na ho.Baaki chemicals waste jab treat karke paani me daalatein hai toh vo samaya ke saath decompose hotaa hai par, PFOA ek synthetic thaa, vo plasic ki tarh kabhi decompose nahi hotaa. paaani me hamesha rehetaa.Unhone bis saal taka teflon waste ko nadi me
bahaayaa. Aaj bhi daal rahein hai. Teflon ek behad kimati chemical
hai jo billions of dollar ki industry ko support kartaa hai. Us nadi
ke paani ko pikar na jaane kitane log cancer ke shikaar huve hai.
Sarah
ye sab sun kar dung reha jaati hai. Billot ke boss bhi hairaan hotaa
hai islevel ke pollution ko dekhakar. Billot saare evidence lekar
Tennant ke paas jaataaa hai aur saari kahani bataataa hai. Use DuPont
ke saath settlement karne ko kehetaa hai, kyunki DuPont ke paas time
aur paisa dono bahut hai, aur unse ladanaa naa ke baraa bar hai.
Lekin Tennant pehele nahi maanataa, usko justice chaahiye thaa, Vo
Dupont ke officers ko jail bhejanaa chahataa thaa. Tennant aur usaki
wife dono ko ab cancer huva tha, isliye vo paise lekar ilaaja
karvaane ko ready hotaa hai. Billot , Donnelly se mil kar out of
court settlement karvaataa hai.
Lekin
DuPont ki galati sirf Tennant ko effect nahi kar rahi thi, balki un
saare logon ko effect kar rahi thi jo us town me rehate the aur nadi
ka paani piyaa thaa. Isliye Billot is saari karm kaand ki information
ko EPA, Sarkaar, press ko bataataa hai. Apane paas ke sabhi documents
ko bhi detaa hai. EPA DuPont par 16.5 million dolar ki fine lagaati
hai.
DuPont
ab Parkersburg ke rehene waalon ko ek notice deti hai ki unki pine ke
paaani me PFOA hai jo ek pollutant hai, par uski maatra behad kum
hai isase aapki ife ko koyi khataraa nahi hai. Darlene Kiger aur uske
husband ko bhi aise hi ek chitti milti hai. Ab vo dono Billot se
miltein hai aur Darlene keheti hai ki mere ex-husband DuPont par kaam
kartaa thaa, vo haeshaa flu ke kaaran bimaar rehetaa thaa , plants ke
workers use Teflon Flu kehete the. Uska bhi 40 saal pehele hi
hysterectomy ho gayi. Ab town ke saare log Kiger Family ke saath mil
kar DuPont par class action suit karnaa chaahate the. Iskaa matlab
hai ki sabhi logon ko DuPont se compensation chaahiye thaa aur unhe medical
treatment karvaanaa hogaa zindagi bhar.
Billot
ke law firm me is vishaya par ghambir charchaa hotaa hai. Unki firm
basically corporates ko bachaane ka kaam karti thi naaki unse ladnaa.
DuPont badi company thi, yadi un par case kiya gaya toh unke baaki
client par iskaa buraa asar pad saktaa thaa. Kayi partners iske
khilaaph the. Par Billot ke boss Tom gusse me sab ko samjaataa hai
ki, is baar mamalaa alag hai, is company ne apane aapko sarkaar se, law
se upar samajhaa hai, lawyers ka kaam hai justice dilaanaa yadi aaj
vo piche hat gaye toh unki image hameshaa keliye barbaad hogi. Vo
Billot ko case karne ka permission detaa hai.
Billot,
Parkersburg ke ek local lawyer Harry Dietzler ke saath court me argue
kartaa hai ki PFOA ki maatra DuPont ke study ke mutaabik 1 part per
billion huvi toh safe hogi par paani me PFOA ki maatra 150 hai.
DuPont, sarkaari EPA adhikaari ko witness ke tor par pesh kar ke unse
paani me PFOA ki safe maatraa puchatein hai. Lady officer keheti hai
150 parts per billion. DuPont ne EPA ko paisa deke chup karvaayaa
thaa. Is case aane se pehele EPA ne PFOA ko kabhi bhi pollutent bhi
declare nahi kiyaa thaa, isliye un ke paas bhi sahi javaab nahi thaa.
Apani naakami chupaane keliye vo DuPont se mil gaye the.
Billot
aur Harry case haarte hai. Logon me is baat ko lekar kaaphi gussa
aataa hai . Vo plant me strike karke protest karne lagtein hai. Ye ab
ek national news bantaa hai. DuPont ke CEO naa chahate huve bhi 70
million dollar ka settlement kartaa hai. Life long Medical treatment
keliye vo conditions raktein hai ki vo scientist ki ek team
bannayenge, yadi unke report me ye aayaa ki logon ke blood be PFOA
hai aur usase cancer jaise bimaari hoti hai toh hi vo paisa denge.
Sabhi protest karne vaale log is condition ko maanate hai.
Ab
saal hai 2005, town ke lagbhag sabhi 70000 log study keliye blood sample detein hai. Har ek aadmi ko participate karne keliyee 400 dollar
milane vaale the. Study 5 saal tak chalti hai. Kayi log cancer se mar
rahe the. Billot ka career bhi case ke wajah se gir gayaa thaa. Firm
me use stress jyada thaa, uski salary bhi ab 2008 ke recession ke
wajah se aur study ke scientist ko study karne keliye paise dene ke
wajah se ,kum kar di gayi thi. Billot ek din office hi gir jaataa hai
, usako treat karnevaale doctors sarah se kehetein hai , unhe stress ki
wajah se mini stoke huvaa hai, unhen medication time par lenaa hogaa
aur stress se bachanaa hogaa.
Panch
saal baad scientists apana study report submit kartein hai. Unka
conclusion thaa PFOA logon me cancer kaa kaaran hai aur us town ke
har aadami ke blood me PFOA hai. Itane saal intazaar karne ke bad
ab DuPont ab Billot ko ketein hein ki vo us study ko nahi maante aur apane condition se mukar jaatein hai. Billot ko ab case jaari rakhane keliye sabhi 3500 case ko ek ek karke court me ladanaa hogaa.
Robert
Billot niraash hokar apane ghar me apani wife se Sarah se kehetaa hai
, ek 12th fail kisaan Tennant ne usase kahaa thaa, saaraa
system rigged hai , sab milehuve hai, logon ki parvaaha kisiko nahi
hai, is duniya me jine keliye logon ko ek dusare ki madad kar ni
hogi, koyi aakar unko help nahi karegaa. Billot niraash aur udaas
hotaa hai. Sarah use himmat santvaana deke keheti hai ki, usane apane haath me jo ho
sakaa vo kiyaa. Vo koyi failure nahi hai, agar vo nahi hotaa toh
duniyaa ko PFOA ke baarein me pataa bhi nahi lagtaa.
Ab
Billot ek ek kar ke case ladne lagtaa hai. Ek do case me settlement
kavaane ke baad DuPont bhi aakhir kaar sabhi cases ko 670 million dollar me
settle kartaa hai. PFOA duniyaa ke lagbha 99% humans ke blood me hai,
bahut saare consumer items me hone ke kaaran ye duniyaa bhar me phehelaa
hai, USA me ab PFOA ki manufacturing ko ban kar diyaa gayaa hai, par china
me roz hazaaron ton ki production hoti hai.
India
me bhi teflon coated cooking pan online, offline har jagah bik rahi
hai jo directly dosa, utappa, paddu banaa ne me use hotaa hai. Ye
zaharilaa hai inhen use mar kijiye.
Tags : Dark Water ending explain hinglishhollywood movie in hindi,new hollywood movies,hollywood film, hollywood movie,hinglish movies,hollywood movies 2020,new movie
Comments
Post a Comment