Emergence S1 E1
Emergence
is saal aayi ek acchi , soft , funny ,enjoyable aur thoda light
horror se banaayigayi new tv shows hai. Is mei mystery bhi hai aur
family values bhi hai. Show ki pilot episode mei hame Piper naam ki
8-10 saal ki bachhi ka introduction diya jaata hai . Ek soft harted
lady police chief, Jo Evans, usaki family aur is bachhi ki
connection ke uper ye serial banayaa gaya hai. Toh jayldi se shuru
kartein hai story ko
RECAP
Emergence
ki shuruvaat hoti hai aadhi raat ko , NewYork rajya ke Long Island
ke, ek chote town Southold mei. Aadhi raat ko pure town ki bijali
achaanak chalijaati hai. Usi waqt town ke beach waale hisse par ek
plane crash hota hai.Town ki Police chief Jo Evans bhi nind se utati
hai aur apani beti Mia, aur apane father, Ed Sawyer ke saath ghar se
bahar nikalti hai . Vo teeno aur aas-paas ke sabhi padosi, aasmaan
mei different colours ki lights ko dekhatein hai . Bilkul vaise hi
jaise . Tabhi Jo ko beach crash site se phone aata hai . Vo
undono ko sone keliye kehake wahan se chali jaati hai.
Beach
par first responders apana kaam kar rahe the. Jo wahan pe, officer
Chris Minetto se milti jo bataata hai ki ye ek mid size private
plane hai. Jisme das log sawar the aur sabhi maaregaye hein. abtak
unko plane ke baarein mein yaa bijali ki achanak jaane ke baarein mei
koyi clue nahi mila hai. Jo Chris ko ek perimeter banake saare
evidence ko jutaane keliye keheti hai.
Jab
saara maamala saamanya hone lagata hai tab Jo bhi vahan se jaane
lagati hai, tabhi ek sand ke chote se tile ke piche chupi ek bachhi
ko vo dekhati hai . Vo bachhi dari-dari si thi. Vo bachhi usase baat
karne se bhi dar rahi thi . Jo use ab dhire se manaane ki koshish
karti hai, us bachhi ki t-shirt par Toy Story ki Woody ki photo thi ,
toh Jo keheti hai ki vo bhi Woody ki tarah ek police officer hai .
Use darne ki jarurat nahi hai. Vo bachhi ab convince hokar , jor se
Jo ka haath pakad leti hai. Baad mei Jo use apani police jacket deti
hai kyunki wahan par aadhi raat ko bahut thanda thaa.
Jo
paramedics ko us bachhi ki jaanch karne ko kehati hai . Tabhi officer
Chris usake paas aakar keheta hai ki site par NTSB (National
Transpotation Safety Board) ke officer aayein hai. Ab baaki ke kaam
ko vo sambhalenge.
Us
bachhi ko ab hospital mei detail checking keliye layaa jaata hai. Jo
ki friend Dr Abby Frasier, puri tarike se check kar ke keheti hai ki
vo physical tor pe toh thik hai par usaki yaadaash chaligayi hai. Use
kuch bhi yaad nahi hai. Dr Abby kehati hai ki kabhi kabhi kisibhi
trauma ke baad logon ko amnesia yaani bhulane ki bimaari lag jaati
hai . Dimaag apane aap ko bachane keliye aisa kartaa hai . Vo kehati
hai ki use nahi lagtaa ki vo plane mei thi kyunki usaki body par toh
koi bhi injuries ka nishaan nahi hai. Dr abby ko lagta hai ki ek do
din mei shaayad usaki memory vaapas aasakti hai yaa aur bhi time lag
saktaha hai.
Ab
vo bachhi bilkul thik hai aur vo Jo ke saath usake ghar jaana chahati
hai. Jo use candy ki box deke usake saath guessing game khelati hai.
Udhar
hospital ke hall me Dr Abby, apane aap ko NTSB ke officer kehene
waale aadamiyon se behas kar rahi thi. Vo log us bachhi ko arrest
karne aur usaki medical files ko haasil karne aaye the. Jab Dr Abby
unhe manaa karti hai toh vo use dhamakaane lagatein hai. Is behas ko
sunkar Jo vahan par aati hai aur kehati hai ki kisi ko bhi arrest
karneki authority unke paas nahi hai . Local police ke paas hai yaani
usake paas.
Jo
ke behas ke bich Dr Abby ko pataa lagta hai ki vo bachhi apane kamre
me nahi hai . Bhag gayi hai . Ab Jo apani saari police team ko
hospital me use dhundane keliye bhejati hai. Usi waqt officer Chris
dubaara Jo ko phone karke keheta hai ki crash site par ek our NTSB ki
team aayi hai aur vo keharahe hein ki vo hi asali vaale hein. Pehale
jo aaye the uske baarein me unhein kuch nahi pataa.
Hospital
ke baahar baarish hone lagti hai. Jo ek kaali SUV ko hospital se tezi
se jaati huve dekhati hai . Vo use pakadane keliye apani police car
me baithati hai lekin car start nahi hotaa. Achanak carki siron on
hota hai aur vahan par, andhere me baithi vo bachhi kehati hai “
mujhpar gussa mat karnaa”.
Yahan
par sawaal ye hai ki vo bachhi car me kaise aayi?
Ab
Jo use apne ghar lejaati hai. Vaham par usake pitaa Ed, abhibhi jaag
rahe the. Jo ab us bachhi ko ek kamare me sulaakar raat ki puri
kahani Ed ko bataati hai. Ed use support kartaa hai aur us bachhi ki
khabar ko family services department ko bataane ko keheta hai. Jo ko
lagtaa hai abhi bahut khatara hai, shayad wo fake NTSB log usika wait
kar rahe honge.
Agali
subha jab Jo apane kamare se niche aati hai toh vo dekhati hai ki,
usaki bet Mia aur vo bachhi achhe friends ban gayein hai. Mia us
bachhi keliye Jo ko naam rakhane ko kehati hai. Is par Jo kehati hai,
usane soch ke rakha tha yadi uski dusari beti huvi toh vo usaka naam
Piper rakhegi. Ab officially uska naam Piper rakhatein hai.
Mia
ko school jaana tha aur Jo ko crash site pe, Isliye vo apane dad Ed
ko, Piper ka khayal rakhane keliye kehati hai . Ed ek retired Senior
citizen tha aur usaki health bhi khas achhi nahi thi. Jo use Piper ko
ghar me hi rekhane keliye kehati hai.
Ghar
ke aangan me Jo Mia ko , Piper ke saath achhe se behave karne keliye
thanks kehati hai . Ispar par Mia kehati hai use Piper achhi lagi ,
vo use choti behan tor par rakhana pasand karegi. Jo aur uska husband
divorce lechuke the. Isliye Mia ko ek behan nautural tarike se toh
nahi milne waala tha.
Usi
waqt ek kaali SUV unke ghar ke saamne se tezi nikaljaati hai. Jo ko
yakken hota hai ki koi unpar nazar rakha rahaa hai.
Ghar
me Ed apane medicine ke box me, din ke hisab se tablets ko arrange
kartaa hai. Piper puchati hai ki vo itane saare tablets kyun letaa
hai. Is par Ed use bataata hai ki vo apane carrer me ek fire fighter
tha, jiske wajaz se bahut saare jalihuvi chijhon ka saamana use karna
padhata tha. Mujhe cancer huva tha, ye tablets cancer dobaara aane se
rokati hai. Baad me vo garbage disposal karne ki tools ko laane
basement me jaata hai.
Jab
Ed niche jaata hai toh hall me rakhi TV apane aap hi on hota hai ,
uspar ek pattern se images aane lagtein hai. Piper use dekhakar uske
paas jaati hai. Vo use touch karnehi vaali thi, tabhi Ed vaapas aakar
use awaz detaa hai. TV ka pattern bhi achanak band hotaa hai. Piper
baad me Ed ki tool box se box cutter ko churaati hai.
Kya
use koi contact karne ki koshish kar raha tha? Yaa koi uspar nazar
rakh rahaa tha?
Jo
ab beach par jaati hai aur vahan ki haalat dekhakar vo surprise hoti
hai. Beach ek dum clean tha. Aksar NTSB ke officers ko ek crash site
ko, detail me investigate karne keliye kayi din lagtein hai. Par
yahan par toh sab kuch ek hi raat me clean kar diya gaya tha. Beach
par koi nahi tha sivaaya ek aadmi ke jo vahan ki photos lerahaa tha.
Uska naam Benny Gallagher tha.
Jo
uske paas jaakar use vhan se jaane keliye kehati hai. Benny keheta
hai ki vo ek reporter hai aur undon ko saath me milkar kaam karneka
offer deta hai. Vo keheta hai vo aise accidents ko jaantaa hai ,
NTSB is accident ko chupaa rahein hai. Unki official report me plane
ka naam bhi nahi hoga, vo ise drone bataadenge jo pollution yaa
forrest mapping kar rahaa tha.
Jo,
ko ye sab azib lagtaa hai aur usaki koi bhi baat par vishvaas nahi
karti, Benny ko vahan se jaane ki order deti hai. Benny kehetaa hai
plane vahan se teen mil dur, plum Island se udhan bhara tha aur vahan
par Homeland Security ka research center hai. Ab vo use apani contact
card detaa hai aur vahan se chalaa jataa hai.
Shyam
ko Jo, apane ghar vaapas jaati hai. Vahan par uska ex-husband Alex,
already Mia ko weekend plans ke liye, lejaane aaya tha . Ed aur mia
ne use puri kahani bataadi thi. Ab Mia uskesath jaane keliye mana kar
deti hai, vo kehati hai, Pipper ko emotional support dene keliye uska
vahan rehena jaruri hai. Vo keheti hai ki usake class me use
sikhayagaya hai ki, traumatic incidents ke bachhon ko emotional
support ki sakht zarurat hoti hai. Mia apane parents ke separations
se khush nahi thi, us waqt usko jo support use nahi mila vo ab vo
Pipper ko dena chahati thi. Alex bhi Mia ke baat se sehamat hota
hai, vo apane plans ko reschedule karne keliye maan jata hai.
Ab
Piper apane room me Mia ke diye huve khilono ko dekhati rehati hai.
Jo, vahan aakar keheti hai ye doll house uska tha, usne Mia ko diya
aur Mia ne tumhe, lagtaa hai Mia ko tum kaphi pasand aayi ho. Pipper
jo, ko Mia ne diya huva neckless bhi dikhati hai.
Jo,
use phir se puchati hai ki kya use kuch yaad aaya? Pipper us baat ko
talane lagti hai. Uspar Jo, use samjaati hai ki uski maa ne, use aur
uske dad ko, jab vo bahut choti thi tabhi chodke chali gayi thi. Use
us baat ka bahut sadma laga, kayi saalon tak uske mann me uska dukh
tha. Jab aap apane sad feeling ko kisike saath share kartein hai to,
aapaka mann halka hota hai aur aap us sadme se baahar aasaktein hai.
Jo, keheti hai yadi vo koyi baat usase discuss karna chahe to vo
karsak ti hai. Pipper bhi uska sujhav maan kar keheti hai, shayad
meri yaadash kabhi vaapas na aaye, kya tabhi vo vahan reha sakti hai
? Jo, usme haami bharti hai.
Tabhi
Officer Chris ka phone Jo, ko aata hai, vo phone me keheta hai ki
police station par do log aayein hai aur vo keharaein hai ki vo log
Piper ke mom-dad hai. Jo, bhi ab station jaati hai. Chris keheta hai
unka naam, Freddie aur Caitlyn Martin hai, unka kehena tha ki unki
beti Olivia kal raat se usi crash site se gayab hai. Vo kal raat ko
beach ke paas camp kar rahe the aur unki bachhi raat me hi khogai.
Jo, ko ye baat thoda azib lagti hai.
Piper
ko mile huve 18-20 ghante ho chuke the, agar unki bachhi kal raat ko
gum hochuki thi to vo log subha police station par complaint karne
kyun nahi aaye?
Freddie
Jo, ko un teeno ka passport identification ke tor par dikhata hai,
keheta hai vo log kal raat se use dhunda rahe hai par vo nahi mili,
unka mobile me signal bhi nahi hai isliye unhone 911 ko call bhi nahi
karpaaye. Usi waqt Chirs , unkeliye coffe lekar aata hai. Jo, unse
Pipper ke saath kinchihuvi koyi photo dikhaane keliye keheti hai par
vo mana kar dete hai. Jo, ka shak aur bhad jaataa hai. Jo, unse unki
coffee ki cup lekar keheti hai ki thik hai kuch paper works karne
honge uske baad appko bachhi miljaayegi.
Jo,
ab Chris, ko us coffee cup ke uper mile fingerprints ko scan karne
keliye keheti hai. Tabhi achanak vahan light chalajaata hai bilkul
kal raat ki tarah, aur usi andhere me Martin couple bhi bhag jaatein
hai. Jo panic me aakar Alex ko phone karti hai aur keheti hai bachhon
ko aur uske dad ko lekar, apane secret location par javo aur apana
mobile phone ghar par hi rakho.
Alex
vaisa hi karta hai, Mia ko kuch samaj me nahi aata, vo puchati hai
kya ho rahaa hai? Kal usaki school hai. Jo, vahan aakar puri kahani
keheti hai. Baad me sabhi log hall me hi sone ka decision lete hai.
Tabhi
front door par kuch log aakar zor zor se door ko bajaate hai. Jo,
apni service pistol se unhe dhamki deti hai, phir bhi vo log unpar
hamla karte hai. Ed, aur Alex bachhon ko lekar pichale daravaaje se
jaane ki koshish karten hai par daravaaja jam tha, vo log phas gaye
the. Ab Piper bhi panic me aakar chikhane lagti hai, achanka unke
aasa paas ki saari chijen bhi zor zor se hilne lagti hai. Vahan ka
washing machine achanak shake hoke, apane jagaha se dur jaata hai.
Alex aur Ed ko kuch samajha nahi aata, Alex upar vaali khidaki ko
thod kar Mia aur Piper ko bahar nikaalata hai. Jo, bhi ab vahan aati
hai, Ed use bhi jaane keliye keheta hai.
Udhar
ground par Alex ko koyi piche se maarkar Piper ko kidnap karleta hai.
Jo, ab un kidnappers ka picha apane police wan me karti hai. Rastein
me vo station phone karke backup mangavaati hai. Un kidnappers ki
gaadi highway par tezi se jaarahi thi, Jo unke piche hi thi. Achanak
bina kisi karan un kidnappers ki van ka accident hojata hai, us van
ke chithade udjaatein hai. Jab Jo, vahan jaake dekhati hai to Martin
couple mare pade the. Pipper jinda thi, vo dhire se van se bahar
aakar jor se Jo ke gale lagti hai.
Agale
din officer Chris, keheta hai, unki ID’s fake hai, unka
fingerprints kisise bhi match nahi huva, vo dna check karvaa sakta
hai par shayad uska bhi koyi natija nahi nikalega. Accident ke site
se ye mila hai, vo ek metalic card ko dikhata hai aur keheta hai,
isme koyi bhi electronic circuit nahi hai, ye kya hai vo bhi pata
nahi hai. NTSB vaalon ka bhi report aagaya hai, unke mutaabik vhan
koyi plane nahi tha, jo crash huva vo ek dron tha jo national Science
Foundation keliye forrest ka map banaarahaa tha.
Chris,
keheta hai hamne to apane ankhon se us plane ko aur dead bodies ko
dekhaatha, koi ise cover up kar raha hai. Jo, keheti hai iska pahunch
shayad upar tak hai, aur Piper se directly judaa huv hai. Isliye vo
Piper ko ab uske paas hi rakhegi aur child welfare department ko abhi
nahi bataayegi. Chirs, bhi case ki naajukata ko dekhakar usase agree
karta hai.
Baad
me Jo, Benny se ek restorent me milti hai. Usne uske piche ek officer
ko uska jaasusi karne keliye lagaya tha, ab vo use thanks kehekar use
vahan se bhejati hai. Benny thod surprise hota hai. Jo, usase keheti
hai normal conditions me vo kisike satha bhi apani case ke details
share nahi karti, lekin ye case extra-oridinary hai, Jo bhi help use
milsake vo help ko lenekeliye vo taiyaar hai. Benny bhi uske saath
kaam karne keliye ready hi tha. Jo use vo magnetic card dekar uske
chanbeen karne keliye keheti hai.
Jab
Jo, ghar aati hai Pipper abhi bhi soyi nahi thi, vo mia ke bagala me
baithi thi. Jo, use keheti hai, use darne ki koyi zarurat nahi hai,
jo log use kidnap karne aaye the vo ab nahi aayenge. Pipper ko lagta
hai ki usine us plane ko crash kiya hai, par Jo use samajhati hai
aisa mumkin nahi. Ab Jo, use bresh karke sone keliye kehati hai.
Jab
Piper brush karne keliye bathroom ko jaati hai, uske chehere par ajib
se emotions aane lagtein hai. Ab vo box cutter ko apane pocket se
nikaalti hai jo subha usne churaayaa tha. Apne kaan ke niche ek chota
sa cut kar ke, ek small device ko bahar nikalti hai. Us small device
ke upar bilkul vaisa hi pattern tha jaise subha TV par aaya tha. Ab
vo use sink me phenk kar, flush karti hai aur vahan se chali jaati
hai , jaise kuch huva hi nahi ho. Vo ye baat ko Jo, se bhi chupaati
hai.
Vo
device ek tracker hi hoga, isiliye kidnappers ne itane aasani se
Alex ka screct location dundliya tha. Isike saath episode 1 yahin
khtma hota hai.
NEXT EPISODE : Episode 2
Emergence S1 E2 Ending Explain hinglish ,netflixindia, tvshows , US Tv shows, englishseries englishtvshows hindi dubbed tv series, hindi dubbed tv shows
Comments
Post a Comment