2020
saal
ke
Oscar me best Picture keliye chunigayi film me
1917 bhi ek hai. Film ki shuruvaat hoti hai saal 1917 ke world war 1
me. Corporals Schofield (George MacKay) and Blake (Dean Charles) 8th
battalion ke jawan the jo zamen par so hare the. Blake ke commanding
sergeant unke paas aakar kehetaa hai ki ek aur jawan ko apane saath
lekar, commanding officer se jaake milo. Blake ab Schofield ko apane
saath lekar jaataa hai. Dono ab WW1 ke trenches se hoke guzartein hai
aur sochatein hein ki unhen kisliye bulaya gaya hoga. Blake Christmas
ke liye ghar jaana chaahataa tha.
Ab
vo dono commanding officer ke baarack me aatein hai jahan General
Erinmore’s (Colin Firth) aur baaki sabhi bade officers the. General
Erinmore unko ek important mission ke baarein me kehetein hai.
General
Erinmore “ German army command ne ek strategic plan ke tehet apani
puri battalion ko front se vaapas bulaliya hai aur vo piche hat
rahein hai. Colonel Mackenzie apane
2nd
battalion ke saath unka pichaa kar rahein hai. Kal subh ki sun rise
ke saath, vo germans par hamla karnevaale hein. Ye ek bahut badi
galti hai, germans jaanatein hai ki Colonel Mackenzie kal hamla
karne waalein hai. Tum donon ko german front cross karke Colonel
Mackenzie ko ye letter denaa hoga aur kal ki hamla rukavaana hoga.
Varna Blake tumha bhai Lt.Blake aur uske saath 1600 jawan mar
jaayenge. 1st
tum dono Lieutenant Leslie (Andrew Scott) se milo vo tumhe german
front cross karne ka direction denge.
Jawan
Blake ye news sukar dar jaata hai aur is mission ko accept kartaa
hai. General Erinmore ne Blake ko isiliye chuna tha, kyunki uska bhai
isme shamil tha. Unhe maalum tha ki vo isase inkaar nahi karega.
Blake
aur Schofield ab lambi trenches me tezi se jaane lagtein hai.
Schofield, Blake ke dubaara sochane ko kehetaa hai kyunki use lagtaa
hai ye mission khatarnaak hai. Undonon ko asal me german front line
me sidhe ghusna tha. Inteligence ke mutaabik vahan par enemy nahi hai
par yadi bhul se bhi kuch hi jawaan vahan the to unka marnaa pakka
tha. Blake use kehetaa hai ye usaki bade bhai ki zindagi ka sawal hai
aur vo risk lene keliye taiyaa hai.
Ab
vo dono Lieutenant Leslie (Andrew Scott) se miltein hai aur pura plan
bataatein hai. Lieutenant Leslie ko lagtaa hai ki ye ek worst plan
hai. Unhone pichale din hi kayi javanon ko khoyaa tha aur aaj vo
dono unse keharaein the ki dushman apani post chodkar chalayaga hai.
Unko yakeen nahi hotaa par order maanate huve un donon ko sara
direction bataatein hai. Unko ek flare gun bhi detein hai taaki yadi
vo sayi salaamat front cross karke bach gaye toh unhe maalum ho.
Blake
aur Schofield ab front cross karne lagtein hai. Vahan par kayi saare
gadde the, marehuve javaanon ki bodies thi, marehuve ghodon ki bodies
thi, raasta rokane keliye har jagaha wires ka jaal bhichapada tha. Ek
wire ko cross karte samaya Schofield ki haath me chot lagti hai aur
khoon behene lagtaa hai. Use vo kapada baandakar rokataa hai.
aakhirkaar vo german trench ko pahunchtein hai jahan par koyi nahi
tha. Germans ne vaakayi frontBlake explains he thought they were just
going on a food run, he never thought it would be this mission. se
piche hatliya tha.vahan par vo dono unki khali baracks ko dekhatein
hai jahan par ab chuhein rengarahi thi.
Barracks
ke under Schofield ka pair ek trapwire par lagtaa hai jo ek mine se
connected tha. Usi waqt ek blast hotaa hai aur Schofield malbe me
dhasjaata hai. Blake turant vahan aakar usko malbe se nikaaltaa hai
aur usaki jaaan bachaataa hai. Ab dono vahan se jaldi se jadli
bhagane lagtein hai. Barracks se aakar Schofield ab lambi lambi saans
letaa hai aur gusse se Blake se puchata hai ki usane usko kyun chuna.
Blake kehetaa hai ki use laga hum donon ko khanaa laane keliye
bulayaa hoga. Yaisa mission denge ye sapane me bhi nahi sochaa
tha.Blake ab flare gun ko chalaakar ishara kartaa hai ki vo dono sahi
salaamat hein.
Vo
donon german territory me aage badtein hai. Blake kehetaa hai unhe
is kaam keliye medal milegaa.Schofield use kehetaa hai usne apan
pichala medal wine keliye exchange kiya tha. Use medals me koyi
interrest nahi hai. Kuch dur jaane kebaad unhe phulon ka bagicha
dikhayi detaa hai aur Blake kehetaa hai ki uski maa ka bhi bagicha
tha jahan par uska bhai phulon ko thodataa tha.
Khet
me jab vo aage badtein hai to unhe ek sunsaan ghar miltaa hai, vahan
koyi nahi rehetaa sivaaya ek gaaya ke. Schofield us gaaya se fresh
milk nikaalta hai aur apani water bottle ki can me bhar letaa hai.
Tabhi vo log aasamaan me teen ladaaku planes ko dekhatein hai jisme
se german plane ko british plane shoot kartaa hai aur vo crash hokar
unke aur girne lagtaa hai. Vo dono vahan se jalde me bhagatein hai.
Plane crash hotaa hai aur usme baitaa german pilot aag ke chapete me
aajaataa hai. Vo dono bhag ke uski jaan bachaatein hai. Schofield
uski haalat ko dekhakar use aasan mauth dene ki baat kartaa hai par
Blake use inkaar kar, uskeliye paani laane keliye kehetaa hai.
Jaise
hi vo paani laane jaataa hai , german pilot Blake ke pita piche
hamlaa karke use ghayal hai, Schofield use dekhakar chillataa hai
aur apani banduk se us german ko maargiraataa hai. Blake ke body se
khoon beherahaa thaa, uska bachane ka chance behad hi kum tha. Isliye
Blake Schofield s kehetaa hai ki use usaki maa ko chitti likhani
hogi, unhe bataana hoga ki marte time vo daraa nahi balki bahadur
tha. Schofield rote rote haami bharataa hai.
Kuch
der baad Captain Smith (Mark Strong) aur uski batallion vahan aati
hai jo usi raaste se jaarahe the. Captain Smith Schofield ka kahani
sunkar use lift detaa hai aur apani mission par concentrate karne
keliye ketehaa hai. Schofield ab ek truck me baaki jawaano ke saath
baitakar jaata hai. Kuch der baad unki truck gadde me phas jaati hai,
Schofield baaki jawaanon par chillakar us gaadi ko jaldi se nikaalne
keliye kehetaa hai. Sabhi jawaan uski madada kartein hai. Vo un sab
ko apani kahani bataataa hai. Unme se ek javaan ek sikh sardaar tha
jo India se aaya tha. Ye 1st time hoga jab kisi bhi
hollywood film me, WW1 me bharat ke jawaanon ki contribution ko
dikhaya ho. WW1 me bharat se lagbhag 1.5 million jawaan gaye the. Vo
sikh sardaar Schofield ki baat sunkar use saantwaan detaa hai. Ab
Captain Smith, Schofield ko ek nadi ke baazu chodkar kehetein hai ki
use is nadi ko paar karna hoga. Use best of luck kehekar vahan se
chale jaatein hai.
Schofield
ab nadi par bane bridge par chalne lagtaa hai. Tabhi uspar dushman ka
hamla hotaa hai. Vo jaldi se cross karke kinaare jaata hai aur
javaabi hamlaa kartaa hai. Vo chupke se germen jawaan ke thikaane par
jaata hai aur use maargirataa hai. Indonon ki haataapaayi ke beech
use sar par chot lagti hai aur vo kuch time keliye behosh hotaa hai.
Schofield
ko raat ke time me hosh aataa hai. Vo baahar jaakar dekhataa hai,
puri jagaha aag ke se dhadhak rahi thi. Vo turant vahan se bhagataa
hai aur ek puraane building ke bagal me jaakar khada hotaa hai. Vahan
par ek French ladaki Lauri (Claire DuBurcq) jise sirpha French aataa
tha vo dar dar ke puchati hai ki vo kaun hai. Schofield french me
kehetaa hai ki vo german nahi hai. Lauri use undar bulaati hai aur
uske jakmon par malaam lagaati hai. Vahin par ek baby ro rahaa tha,
Lauri keheti hai ki vo nahi jaanati ki vo kiska bachha hai , use vo
bhi yahin mila, ab vo uska dekhbaal kar rahi hai. Schofield apane
milk waala bottle Lauri ko dekar vahan se jaane lagtaa hai. Lauri use
rokane ki koshish karti hai aur kehati hai baahar khatara jayda hai,
subah subah chale jaavo. Schofield ko apni mission sunrise se pehele
complete karna tha toh vo vahan se nikal jaataa hai.
Jaise
hi vo baahar nikaltaa hai, kuch german jawaan uske piche bhagane
lagtein hai. Vo bhi unhe dekhakar vahn se bhagane lagtaa hai. Vo phir
se ek aur nadi ki paas jaakar vahan jump kartaa hai. Kuch der swim
karne ke baad kinaare pahunchataa hai.
Colonel
MacKenzie ko saara plan bataataa hai aur kehetaa hai ki attack ko
roko. Colonel MacKenzie ko yakin nahi hotaa aur vo uski baat ko
nazaranddaz kartaa hai. Schofield gusse se unpar chillakar kehetaa
hai ki ye army command ka order hai aur vo use neglect nahi kar
sakte. Colonel MacKenzie vo letter padtaa hai aur battalion ko piche
hatane ka order detaa hai. Use yakin thaa ki aaj vo germens ko
haraayenge. Vo bhi schofield ki tarah war se tang aagayaa thaa.
Schofield
ab 1st tukadi ke medical camp me jaakar Lt. Blake (Richard
Madden) ko dhudane lagtaa hai. Vo vahan nahi milta, balki camp ke
outside sahisalaamat thaa. Schofield use milkar uske bhai ki khabar
detaa hai. Uske identification locket aur baaki saaman bhi detaa hai.
Lt Blake ye sunkar dung reha jaataa hai aur rone lagtaa hai. Phir bhi
vo apane aap ko sambhalkar Schofield ko Camp me khaana khaane keliye
kehetaa hai. Vo Schofield lo usaki aur baaki sabhi 2nd
battalion ki jawaanon ki jaan bachaane keliye thanks kehetaa hai.
Schofield, Lt Blake se kehetaa hai ki Blake ki aakhari ichha thi ki
vohi uske maa ko letter likhe. Lt blake haami bhartaa hai. Ab
Schofield ek ped ke niche jaakar baitatha hai aur apani biwi aur
bachhon ki photos ko dekhataa hai.
Ye
film ek true story par aadharit hai.
Tags : 1917 ending explain hinglish hollywood movie in hindi,new hollywood movies,hollywood film, hollywood movie,hinglish movies,hollywood movies 2020,new movie