Hinglish Spoilers : Film
ki kahani 70’s ki ameican society me set kiya gaya hai. Ek das
baara saala ka bachha apane dad ke room se ek porn magazine churaataa
hai. Uske under ek porn star Misty Mountains ( Murielle Telio ) ki,
kayi saare photos thi.Tabhi achaanak kahin se ek car, uske ghar ke
ander ghusa jaati hai aur ek bada dhamaaka hotaa hai. Jab vo car ke
paas jaakar dekhata hai to ek young lady puri nangi hokar, behosh
padi thi. Vo lady Misty Mountain thi. Vo marte waqt shayad nashe
me thi, vo bachha uspar apanaa shirt daalkar vahan se chalaa jaataa
hai.
Ab
hum ek private bodyguard se miltein, Jackson Healy ( Russell Crowe)
jo ek aadami ka pichaa kar rahaa hai. Ek 13 saal ke bachhi ke parents
ne use, us addami ko niptaane keliye contract diyaa tha. Jab vo
aadami us bachhi se milkar chalaa jaataa hai tab vo uske paas jaakar
use, thik tarike se pitataa hai aur us bachhi se dur rehene ki
dhamaki deta hai.
Ab
film ke dusare main role me ek private jaasus hai jiska naam Hollaand
March ( Ryan Gosling) hai. Uski biwi guzargayi hai, vo apane beti
Holly (Angourie Rice) ke saath rehetaa hai. Uski biwi ke death ke
baad vo alcoholic hogaya tha aur jaasusi ke kaam se use, achhi income
bhi nahi thi. Vo ek old lady se miltaa hai jo keheti hai ki uska pati
laapata hogaya hai. Use dhundane ki case deti hai. March ghar me
rakhi uski pati ki asthi ke kalash se samaz jaataa hai ki old lady ko
bhulane ki bimaari hai.
Healy
ab ek naujavaan ladaki se miltaa hai, Amelia ( Margaret Qualley). Vo
use March ka naam aur pataa deti hai aur keheti hai ki ye aadami mera
pichaa kar rahaa hai, ise nipataana hai. Vo Healy ko advance payment
karti hai.
March
ab Amelia ke photo ko har tape shop me dhikaakar uske baarein me
puchataach kar raha tha. Jab ek BAR me puchane jaata hai toh
bartender use baseball bat se maarane ki dhamki detaa hai. Uske paas,
credit cards ki receipt thi use churaane keliye raat ko chupke se
jaane ki koshish kartaa hai. Glass thodane ke time par uska haath kat
jaataa hai aur khoon behene lagtaa hai. Ab vo hospital me apana ilaaj
karvaataa hai.
Agale
din Healy, Marcch ke ghar aakar use thik tarike se pitataa hai, uski
haath ko thodataa hai aur Amelia se dur rehene keliye kehetaa hai.
Use pataa tha ki March ek private jaasus hai isliye puchataa hai ki
use kisne hire kiyaa tha. March ab puri tarah pain me tha, vo bataataa
hai ki ek old lady Mrs Glenn ( Louis Smith ) ne. Old lady ko lagtaa
hai ki uski bhaanji Misty Mountain, abhi bhi zinda hai,uska daava hai
ki usane use, accident hone ke do din baad bhi use dekhaa hai. Usne
pinstripe jacket pehena tha.
Ab
Healy March ke ghar se jaata hai jaate waqt vo Holly se miltaa hai
aur use jhoot bolataa hai ki vo usake dad ka friend hai. Holly use
Yoohoo cool drink deti hai.
Healy
ab apane ghar jaataa hai , vahan par do kiraay ke tattu Blueface aur Old guy pehele se
the. Ek old tha aur dusara thoda jyada gussewaala. Vo bhi Amelia ko
dhundrahe the. Vo Healy par gun taankar puchetein hai ki Amelia kahan
hai, uski ghar ki talaashi letein hai. Jab vo gussevaala aadami uski
cupboard ko kolata hai toh saara blue ink uske chehere par girtaa
hai. Vo ab gusse me Healy par goli chalaata hai par Healy bach kar
nikaljaataa hai.
March
apani beti ki birthday celebrate karne keliye ek mall me gaya tha.
Healy vahan aakar March ko pakadtaa hai. March ab case ki story
bataane keliye 400 dollar charge kartaa hai. Ab Healy use Amelia ke
dundane ka case detaa hai aur uske saath vo khud bhi kaam karne
lagtaa hai.
Hinglish Spoilers :March
aur Healy ab Justice Department ke baahar protest karnevaale Amelia
ke friends se baat kartein hai. Vo log shehar me hone waale kaale
dhuvein se pareshaan the. 1977 me sabhi cars vahan par BS IV model ke
the , jisase delhi jaise smog paidaa hotaa tha. Ise rokane keliye
1975 me US government ne cars me catalytic converter lagaana
compulsary kiya. Magar Detroit ke teen bade auto companies ne ise
thik tarike se laagu nahi kiyaa, isliye saare shehar me roz dhuvaan
hotaa thaa. Protesters kehetein hai ki Amelia vahan nahi hai , uske
boyfriend Dean ka do din pehele death huva hai.
March
ab help karne waale ko $20 dollar dene ka ailaan kartaa hai. Chet (
Jack Kilmer ) naam ka ek banda, jo ek professional movie
projectionist tha, undono ko Dean ke ghar lejaata hai. Uska ghar fire
accident ke kaaran puraa jalaahuvaa tha. Pados ka ek bachha bhi ab
March se information keliye $20 maangataa hai. Vo bachha kehetaa hai
ki vo Dean ko jaanataa tha,usane Misty Mountain ko ek, Sid Hatrack
jaise naam ke, ek producer se milte huve bhi dekhaa thaa. Voh teeno
vahan par ek experimental film banaarahe the.
Healy
aur March ek bill board par, ek adult film ka ad dekahtein hai jise
Sid Shadduck ne produce kiya tha. Unhe lagta hai ye vahi banda hai
jiske baarein me vo bachha keherahaa tha.Ab vo dono uski kundali
nikaalakar uske ghar ke party me gusne jaatein hai. Holly bhi ab
vahan thi, vo chupke se unki car ke dickie me baita kar aayi thi.
Ab
March aur Healy party me Amelia ko dhudane lagtein hai. Healy ek room
ko jaata hai jahan par ek film reel jiska title “ How do ya like
may car,big boy?” tha, vo rakha tha. Vahan par ek pinstripe jacket
bhi tha. Ek cow shaped letter par kisi ke flight ka information bhi
tha.
Kyunki
March alcoholic tha vo party ko dekhakar, case bhulkar party kartaa
hai. Pure nashe me party ke chat se niche girtaa hai. Vahan par vo
Amelia ko dekhataa hai, Amelia use dekhakar bhaag jaati hai. Jab
nashe me March smoke karne keliye lighter jalaata hai toh use ek
laash dikhayi deti hai. Vo ghabaraakar Healy ko bulaataa hai. Healy
uski pocket ko check karke kehetaa hai ki ye Sid Shadduck hai. March
ab us laash ko nipataane keliye kehetaa hai, kunki uski finger prints
har jagah thi. Ab dono us laash ko ek fence ke upar se phenkatein
hai, jo niche chalrahe ek shadi ke function ke beechon beech girtaa
hai. Dono ab vahan se bhaag jaatein hai.
Hinglish Spoilers : Holly
Amelia ke baarein me ek porn star se puchati hai, vo use ek limo me
lejaati hai. Vahan par vo Blueface vaala banda baita tha.vo use
Amelia ke baarein me puchataa hai , tabhi Amelia limo ke baahar apane car ko laane keliye waiter ko keheti hai. Blueface Amelia ko dekhkar , car ki door ko halke se kholkar, uspar goli chalaane lagtaa
hai. Holly Amelia par bhagane keliye chillati hai aur door ko kaske
close karne jaati hai. Blueface ka haath door ke beech pahsjaata hai
aur haath se khoon behene lagtaa hai. Ab Holly, Amelia ke saath bhag
jaati hai. Blueface unka pichaa kartaa hai.
Ab
kuch dur bhagane ke baad Amelia aur Holly ko Blueface road ke beechon
beech pakadletaa hai. Jaise hi vo unpar goli chalaane jaata hai tabhi
piche se aati ek wan uspar chadjaati hai. Hit and run case hotaa hai. Vo vahin
road par tadapane lagtaa hai. Holly uski madada karnaa chahati thi
par Amelia bhag jaati hai. Healy bhi ab vahan aata hai aur vo Holly
ko March ko dhundakar bulane keliye kehetaa hai. Tadapate blueface
kehetaa hai ki “ Jhon Boy” naam ke ek contract killer ko usne,
use aur Amelia ko maarne ka contract diyaa hai.
Healy gusse me uska
galaa ghot ke murder kartaa hai. Baad me police aur paramedics sab
aatein hai. Police Holly ka statement letein hai. Judith Kuttner (
Kim Basinger) jo Justice department ki haed thi aur Amelia ki maa
bhi, undon ko apane office lejaati hai.
Undon
ko office me bulaakar keheti hai ki uska aur Amelia ka rishta achha
nahi hai. Use lagtaa hai catalytic converter ko laagu na karne waale
auto companies par vo sakti se pesh nahi aarahi. Isliye vo mere
khilaaph, government ke kilaph apane doston ke saath milkar protest
kar rahi hai. Vo keheti hai ki Vegas ki Porn mafia unke shehar me bhi
apana business badaana chaahatein hai. Isliye unhone unki beti ko
brain wash kiyaa hai, Amelia ne apane dost ke saath ek experimental
film ( porno film ) kiya tha, vo dost ab mar gaya hai. Isliye mujhe
uski chintaa hai.Vo undon ko Amelia ko dhundane ka case deti hai. Vo
$10000 denewaali thi par March bina soche $5000 maangata hai.!!!!
Hinglish Spoilers :Ab
March ke ghar par Healy , drinks karte karte pichale saal ki ek
ghatana ko bataata hai ki kaise use pairon par goli lagi. Ek sar
phiraa, shotgun leke ek diner ko lutane aayaa tha, tab Healy ne use
rokakar uski haddi pasli ek kar di thi. Par use bhi isi beech goli lagi
aur hospital ke bills ne use kangaal kar diya. Par phir bhi vo din uske
zindagi ka sabse achha din tha, kyunki usne kayi logon ki jaan
bachaayi thi. Use lagatha ki March uski story ko sunrahaa hai par voh
toh kab ka sogaya tha.
Ab
raaste me Healy, Holly ko ek khali plot par baithe huve dekhata hai.
Puchane par Holly keheti hai ki vo jagah unka ghar huvaa kartaa tha,
ek din gas leak se explosion huvaa aur uski maa mar gayi. Dad ko
smell ka aabhas nahi hotaa hai , unka naak kaam nahi kartaa, islie
unhe kabhi bhi leak mehasus nahi huva. Jaise hi unhone lighter
jalaayi, boom dhamaaka, leak ke baad vo hamesh usi guilt me alcoholic
hogaye. Holly, Healy se puchati hai ki kya usne blueface ka murder
kiya? Healy chupke se nahi keheta hai.
Agali
subha Healy Shadduck ke party se mili vo cow shaped letter par likhi
flight details ko March ko dikhataa hai. March keheta hai ki vo koyi
flight detail nahi hai balki, ek apartment ka address hai. Vo dono
jab vahan jaatein hai to vo building 2 saal pehele hi giraa digayi
thi. March kehetaa hai ki shayad vo ek airport hotel ka address
hogaa. Vo log hotel me jaakar, bartender se Amelia ka photo dikhakar
jaankaari maangatein hai. Vo bartender pehele koyi jaankaari nahi
deta, keheta hai ki customer privacy supreme hai. Jab Healy uske
collar ko pakadkar pitataa hai tab vo room number detaa hai. Jab dono
us room ke floor ko jaatein hai tab vahan par pehele se hi kayi saare
log mare pade the. Dono ghabaraakar chup ke se nikal jaatein hai.
Vaapas
apani gaadi me aakar March kehetaa hai ki Amelia mar gayi hogi, unhen
bhi ab nikalanaa chahiye. Tabhi achaanak unke car ke upar Amelia girti
hai. Vo March ko dekhakar , uspar goli chalaati hai. Gun ka backward
force lagne ke kaaran ho vahin par behosh hoti hai.
Ab
dono Amelia ko Ghar laatein hai. Vhan par Holly ki friend Jessica bhi
, video game khelane aayi thi. Amelia puri kahani bataati hai ,
keheti hai ki insab ke piche uski maa ka haath hai. Usine hi
Dean,Misty aur Shadduck ko marvaaya hai. Un chaaron ne ek
experimental film kiyaa tha jisme vo government aur auto companies ki
scandal ko bataane vaale the. Uska plan us film ko detroit auto show
me dikhane ka tha, chori se. Uski maa sab se milihuvi hai. Undono ko
uspar vishvaas nahi hota, kyunki use unpar goli chalaayi thi.
Hinglish Spoilers :Ab
undono ko uski maa Judith ki assistant Kella ka phone aata hai aur vo
keheti hai ki Judith ne use $100000 cash laane keliye kahaa hai. Use
lagtaa hai ki vo kisi mushkil me phas gayi hai. Kella ab undono ko
cash deliver karne keliye request karti hai. March use keheta hai ki
unhe Amelia mil gayi hai par ghayal hai. Kella Judith ke family
doctor ko bhejane ka intazaam karti hai.
Ab
March aur Healy, Kella se paise lekar uske bataaye huve thikaane par
car se jaarahe the. Unka car, open car tha, bina top waala. March din
ke thakaavat ke kaaran , gaadi chalaate chalaate sojaata hai, isliye
unka accident hotaa hai. Saara paisa raaste par gir jaataa hai. Tabhi
unko pataa chaltaa hai ki paisa nakali hai. Kella ne unse jhoot bola.
Kyunki Judith ko Amelia, March ke ghar me chupe hone ki khabar
pehele se hi thi. Vo indono ko ghar se dur bhejanaa chahati thi,
taaki Jhon Boy ( matt Bomer ) uska murder kar sake. Maa apani beti ka
murder karvaana chahati thi.!!! March apane ghar ko phone lagaata hai
par phone par Jessica busy thi isliye phone engage aataa hai.
Ab
Jhon Boy nakali doctor banke March ke ghar me ghustaa hai. Kuch der
Holly se baad karne ke bad , Holly ko pataa chaltaa hai ki ye nakali
hai. Vo apane dad ki pistol ko uspar taankar use daraane jaati hai.
Jessica gun dekhake dar jaati hai, Jhon Boy ab Jessica ko pakadkar
use glass ki khidaki se baahar phenkataa hai aur apani automatic guns
ko laane keliye baahar jaata hai. Holly ab Amelia ko lekar ek
cupboard me chupati hai.
Bahar
tabhi March aur Healy bhi aatein hai. Jhon Boy unpar goli barsaataa
hai. Goli baari me March ke ghar par ek bada se peda girtaa hai aur
ghar tehas nehas hotaa hai. Isi beech Amelia bhi phir se bhaag jaati
hai. Jhon Boy bhi ab vahan se apani car me nikal jaata hai. Healy
uspar goli chalaata hai par vo bhagane me kaamiyaab hotaa hai. Udhar
Amelia road ke kinare par khade hokar lift maangati hai, lift dene
keliye jo car rukati hai usme Jhon Boy hotaa hai, use apani kismat
par yakin nahi hotaa. Vo Amelia ko maar kar vahan se chalaa jaata
hai. Amelia is Dead!!
Agali
subh March,Healy aur Holly ko Amelia ka murder ka news miltaa hai aur
unhen buraa lagtaa hai. Ab Mrs Glenn phir se vahan aati hai aur phir
se apani kahani keheti hai. Tabhi Healy kehetaa hai ki usane
pinstripe jacket waali dress ko Shadduck ke room me dekha tha. Ab
chaaron Misty ke ghar jaatein hai. Vhan par projector tha . March ko
lagtaa hai ki Mrs Glenn ne Film me Misty ko dekhahoga, Amelia ne uske
death ke do din baad vahan aakar use dekha hoga. Iska matlab us film
ek aur copy bhi thi jo Amelia ke paas thi.
Holly
ko Chet, the projectionist ka ek letter miltaa hai jisme auto show ke
din raat 9 PM ko jo vo us film ko chalane vaala tha. Mrs Glen ab rone
lagti hai kyunki uski bhatiji Misty ke mauth me koyi shak nahi tha.
Hinglish Spoilers : Ab
teeno auto show me ghustein hai aur chet ko dhundtein hai. Projection
room me jaakar film reel ko dhundane lagtein hai. Tabhi vahan par
kella aakar unpar gun taankar unse reel chinane ki koshish karti hai.
Holly bhi ab vahan aakr uspar coffee phenkati hai, use laga tha ki vo
hot coffee hoga par vo cold coffee hotaa hai. Kella ab use bhi bandhi
banaati hai. Jaise hi vo uske haat pakade jaati hai , vo phisla jaati
hai , gir kar behosh hoti hai.
Film
me Misty Mountain ne porn comedy ke share sabhi auto compay, Juidth
ke saath ke dealings ko bataati hai. Ab sabhi gunde us film reel ko
dhundane lagtein hai. March aur Healy Chet ko dundane lagtein hai.
Jhon boy chet ko maarkar Helay par hamla karne aata hai. Old guy
March par hamla kartaa hai. Goli baari , shtout hotaa hai. Film puri
hone par Holly use lekar bhagati hai. Healy jhon boy lo pakadkar
usaka galaa ghotane lagtaa hai, tabhi Holly aakar use rokati hai.
Kaaphi
golibaari ke baad police aakar sab ko arrest karti hai. Judith par
bhi case jhota hai, government se dhoka dena ka. Vo March aur Healy
se kelheti hai ki Detroit hi America hai aur America hi Detroit. Jo
Detroit keliye sahi hai vo America keliye bhi sahi hai. Vo keheti hai
ki agar vo jail chaligayi toh koyi aur use bhi bura aadami vahan
aayega.
Baad
me March , Healy aur Holly traffic me phas jaatein hai. March ko
lagtaa hai ki paanch saal me electric cars aajaayengi toh pollution
nahi rahegaa. 2020 mebhi electric cars nahi aayi, Judith se bhi bur
aadami ne apana kaam thik se kiya hogaa.
March
, Healy se partnership me private security agency kholane ka idea
deta hai. Uske liye usne naam bhi sochaatha “ The Nice Guys”.
Film
yahin khtm hoti hai.
Tags : film ki kahani, Hinglish Spoilers ; Hollywood movie in hindi
Next film: Avane ShrimanNarayana