2005
mai Argentina ke raajdhani Buenos Aires me Cardinal Jorge Mario
Bergoglio (Jonathan Pryce) ek public prayer conduct kar rahe the.
Prayer me logon ko kahani ke jariye achhi baatein bataa rahe the.
Prayer ke anth me unko bataayaa jaataa hai ki pope Jhon paul II ki
old age ke kaaran death hogayi hai. Ab vo vatican ko jaatein hai.
Vatican
me duniyaabhar se cardinals, shraddhalu ,press aaye the. Vo sabhi
pope ki antim yaatra me shaamil hotein hai. Pope ki funeral ke baad
naye pope chunane ki prakriya shuru hoti hai. Procedure ke mutaabik
duniyaabhar se aaye cardinals me se hi ek ko vote karke naya Pope
chunaajaataa hai. Ab sabhi cardinals 1st round me vote
kartein hai. Kisiko bhi clear majority nahi miltaa. Cardinal Joseph
Ratzinger (Anthony Pryce) , cardinal Martini aur cardinal Bergoglio
ke beech vote bate huve the. Election conduct karnewaale officials
black smoke jalaakar duniyaa ko bataatein hein ki abhi naya pope nahi
chunaagaya hai.
Ab
sabhi cardinals lunch karte hein, cardinal martini apane votes ko
cardinal Bergoglio ko transfer karne keliye apane supporters ko
kehetein hai. Udhar Cardinal Ratzinger apane paksh me vote karne
keliye, cardinals ke beech actively campaign kartein hai. 2nd
round ki meeting me Cardinal Ratzinger jo ki germany se the, vo
jitate hein aur Pope Benedict XVI bantein hai. Ab white smoke
jalaakar sabhi logon ko ye baat bataayi jaati hai. Media bhi ab ye
khabar ko duniya bhar me prasaarit kartein hai. Cardinal Bergoglio
pehele aise pope ke candidate the jo Europe se nahi the.
Pope
Benedict ka kaaryakaal kayi controversy se surkhiyon me aataa hai. Vo
bahut rudivaadi aur saampradaayik the isliye unme aur church me
followers ki interest din-ba-din kum horahi thi.
Ab
kahani saath saal aage badati hai. 2012 me Pope ke ek personal assistant, church ke corruption se judi kuch important documents ko leak kartaa
hai. Isase church aur pope ki pareshaani badati hai. Cardinal
Bergoglio ko Pope Benedict se ek letter aataa hai jisme likha tha vo
khud rome aakar unse mile. Cardinal Bergoglio ab Rome jaatein hai aur
pope se unki summer residence me miltein hai. Vo dono khubasurat garden me baat karte karte walk karte hai. Bergoglio cardinal ke job se
resign karnaa chaahate the. Pope unki request ko inkaar karke
kehetein hai iswaqt unka istifaa church ke khilaaph , unke kilaapha
ke protest ke tur par dekhaa jaayegaa. Vo Bergoglio ko unke liberal
views keliye daantatein hai.
Bergoglio unhe samajhaane ki koshish
kartein hai ki duniyaa badal rahi hai, aur church ko bhi time ke
mutaabik badalnaa hogaa. Hum ab bhi sirph apani 2000 saal ki
maanyataa aur sampradaayon me phase se, hum logon ki asali pareshaani
ko nazarandaaz kar rahe hein. Duniyaa me inequality, poverty, aur
injustice tezi se bad rahaa hai. Church uske liye kuch nahi karraha.
Bergoglio pope se sex scandals ko chupaane kaa aur sakti se kaarvaayi
nahi karne kaa aaropa bhi kartein hai. Pope Benedict unke sabhi
aaropon ko sire se nakaartein hai.
Raat
me pope akele dinner kartein hai. Dinner
ke baad pope aur Bergoglio phir se baatein karne lagtein hai. Is baar
pope kehetein hai ki unhe ab GOD ki aawaz sunane me mushkil aarahi
hai. Vo donon kuch casual baatein karte hein.Bergolio apana history
bataata hai ki kaise 1956 me jab vo naujavaan tha, kaise use GOD ka
sign milaa. 1956 me Bergoglio Argentina me ek lab me research
assistant ke taur par kaam kar rahaa thaa. Vo abhi bhi duvidha me
thaa ki church join kare yaa nahi. Use koyi sign nahi milrahaa
tha.Usne ek ladaki ko prapose bhi kiyaa tha.
Ek
raat jab vo apane mangetar
se milne jaarahaa thaa tab vo dekhataa hai ki church ki light on hai.
Vo
ander jaataa hai, vahan par priest kisi ka intazaar kar rahe the.
Priest unse kehetein hai ki unhe aaj aabhas huvaa hai ki aaj
confession karne keliye koi na koi zarur aagegaa. Lekin ab tak koyi
nahi aaya, tum aaye ho. Priest ab Bergoglio ki duvidha ko suntein hai
aur kehetein hai ki aaj mera yahaan honaa hi ek sign hai. Isliye tum
ab officially church join karo. Bergoglio ko bhi is par vishvaas
hotaa hai aur vo apani mangetar se rishtaa khatm kartaa hai.
Bergoglio pope se phir kehetein hai aaj GOD ne unhe retire hone ka sign
diya hai.
Bergoglio
keliye pope kuch der tak piano bhi bajaatein hai. Baad me dono tv par
football match dekhatein hai aur kuch time enjoy kartein hai.
Agali subha vaatican me ek aur scandal khada hogaya tha, isliye pope ko
turant helicopter se vahan jaanaa padtaa hai. Vo apane saath
bergoglio kobhi lejaatein hai. Raaste me bergoglio phir se retirement
ke papers par sign karne keliye pope ko force kartein hai lekin pope
use ignore kartein hai. Ab
dono vaatican pahunchtein hai, pope apane kaam se nikal jaatein hai.
Bergoglio ko rukane ka intazaam bhi hotaa hai.
Ab
Bergoglio fresh hokar vatican ke ek rode side fast food joint me
pizza aur coffee letein hai. Baad me bagal ke ek restaurant me sabhi
logon ke saath football match dekhatein hai. Jab Argentinian player
goal kartaa hai to uskeliye pray kartein hai. Saath hi saath pope
keliye bhi prey karte hein. Tabhi audience me se ek aadami pope ko
nazi kehekar gaali detaa hai. Bergoglio ko vatican me hi pope ki
maryada ka hanan hote dekhakar dukh hotaa hai.
Agale
din subh saath baje pope aur Bergoglio phir se ek church me miltein
hai. Isbaar Pope kehetein hai ki unhone use vatican isliye bulaaya
hai ki vo agale kuch hi mahinon me retire honevaalein hai. Aur vo
chaahatein hai ki agalaa pope vo bane. Cardinal Bergoglio ko ye
sunkar shock lagtaa hai. Vo kehetein hai ki pope retire nahi ho
sakte. Ye papacy ke khilaaph hai. Pope Benedict 700 saal puraana
example dekar apani decision ko justify kartein hai. Cardinal
Bergoglio kehetein hai ki vo kabhi bhi pope nahi ban sakte kyunki
unka history bahut hi dark hai. Vo apani kuch galatiyon ko bataatein
hai.
1976
me Bergoglio Argentina ke sabhi church ke pramukha the. Ek military
coup me vahan ki government ka takthaa palat hotaa hai aur military
dictatorship shuru hotaa hai. Vahan ki military sabhi oppose
karnewaalon ko berehemi se maartein hai. Kayi saare priest aur nun
mare jaatein hai. Churches par hamla hotaa hai. Isko rakane keliye, Bergoglio Military se ek deal kartein hai, vo kehetein hai vo logon
se Marxism ko publiclly chodane ki appeal karenge, apne church me
marx ke books kobhi jalaadenge. Badalein me military ko church se dur
rehenaa hoga, kisibhi church ke officials ko arrest nahi karna hoga.
Begoglio
ab military ke saath kaam karke kayi families aur priests ki jaan
bachaatein hai. apne dost ke beti Esther, ke paas jaakar kehetein hai
ki uspar nazar rakkha jaarahaa hai. Vo usko military ke saath kaam
karne par gaali deti hai.
Churche ke kuch priest Bergoglio ke order
ko maanane se manaa kartein hai aur kehetein hai military ka order
maanana GOD ke khilaapha hai. Unke mutaabik Vo hatyaaron se milaahuva
hai , vo church ke pramukha bane rehane keliye laayak nahi hai. Vo
kuch vidrohiyon se milkar military ke kilaapha gorilla war me shaamil
hotein hai. Church ke pramukh ke order na maanane ke kaaran,
Bergoglio unhe church se nilaak detein hai. Military ab sab ko ek-ek
karke pakad leti hai aur torture karti hai. Sabhi logon ko mauth ke
ghat utaarti hai. Esther bhi mar jaati hai. Jab military dictatorship
khatm hotaa hai vatican church Bergoglio ko argentina se baahar
nikaala kar dusare place ko bhejati hai.
Bergoglio
ko apane kaam par pachataava thaa. Vo 1998 tak Argentina se baahar
the. Vo apani exile me pachhaataap kartaa hai.Jab vo vaapas aataa hai
tab Argentina me simple tarike se rehene lagtaa hai. Kuch saal baad
use Bishop banaaya jaataa hai. Bergoglio Pope se kehetaa hai ki pope
banane keliye vo laayak nahi hai. Pope use kehetein hai vo bhi ek
insaan hi hai, use apane aap par karunaa rakhana chaahiye jo vo
dusaron ko detaa hai.
Pope
bhi ab Bergoglio ko usaki confession sunane ka order detein hai. Pope
bhi ab apane negligence keliye GOD se maaphi maangatein hai. Unhe priests ke sexual cases ke baarein me pataa thaa phir bhi unhone kuch
thos kadam nahi uttaaya.Bergoglio unke liye pray kartein hai. Ab vo
undon keliye, khane keliye pizzaa order kartein hai. Khaane ke baad
pope kehetein hai ki unka resignation denaa pakka hai kyunki vo ab
GOD ki
seva karne keliye saksham nahi hai.
Vo Bergoglio ko maaansik taur par agale pope banane keliye ready hone
keliye kehetein hai. Vo
donon church se baahar jaatein hai, saara public pope ko gher letein
hai aur unse blessing lene lagtein hai.
Bergoglio
ab vaapas apane desh aatein hai. 2013 me Pope Benedit retire hotein
hai aur cardinal bergoglio naye pope chune jaatein hai. Vo apane
pehele prayer meeting me Pope Benedict keliye pray kartein hai. Naye
Pope ab duniyaabhar me ghumkar inequality, injustice ke baarein me
apane vichaar ko prasaar karne lagtein hai. 2014 ke argentina aur
germany ke beech ka world cup football match dono pope pizzaa khate
enjoy kartein hai.
Tags
: The Two Popes ending explain hinglish,hollywood movie in hindi,new hollywood movies,hollywood film, hollywood movie,hinglish movies,hollywood movies 2020,new movie