Avane Shrimannaraayana in Hindi
Film
Avane shrimannaraayana teen ghante labi film hai. Yadi film ki kahani
ko itana lamba nahi khichate toh film dekhakar thakaavat nahi hoti.
Film ki kahani ek fictional shehar Amaravati me rakha hai jahan par
Abiraa naam ka ek kabila hai. Inke kabile ka mukhiya ka naam hai Rama
Rama ( Madhusudan Rao). Ye ek dakuvon ka kabila hai jo kisise nahi
darte aur koyi kaanun ko nahi maanate.
Film
ki shuvaat me drama company ke 6 log, Rama Rama ke khajane ko
churaatein hai. Baad me ek bandmaster ko kidnap karke, uske truck me
bhagane ki koshish kartein hai. Lekin un sab ko Rama Rama pakadletaa
hai aur mauth ke ghat utaartaa hai.Sirph Bandmaster ko zinda rakhata
hai.Jab Rama Rama truck ko check kartaa hai toh usme khajaana nahi
hotaa, vo gusse me aag babula hotaa hai.Apane saathi ko unsab ko
daphanane keliye keheta hai.
Kuch
din baad Rama Rama ki tabiyat bigad jaati hai, kabile vaale use naye
neta chunane keliye kehetein hai. Par Rama Rama naye neta chunane se
inkaar kar , keheta hai ki jo koyi bhi us looti huvi khajane ko lekar
aayega vohi agala neta banega. Jab uska bada beta Jairam ( Balaji
Manohar ) ispar aitaraz uthakar use kisi ek ko chunane keliye force
kartaa hai toh vo apane sautele beta Tukaram ( Pramod Shetty ) ko
chuntaa hai. Use apani khandani anghuti deta hai. Isase dono me
dushmani shuru hoti hai. Ab Jairam apane Pita ka khun karne jaata
hai, Rama Rama marte waqt usase Tukaram ko kabhi bhi nahi maarane ka
vaada leta hai. Jairam ab Tukaram ke do ungali kaat kar vo anghuti
vaapas letaa hai. Ab vo ailaana kartaa hai ki jab tak vo khajana nahi
milta tab tak vo gaddi par nahi baitega.
Avane Shrimannaraayana in Hindi : 15
saal bitjaatein hai. Kisiko khajana nahi miltaa. Ab Tukaram apani ek
gang banaakar us khajane ko dhundane keliye ek archaeologist yaani
puratatva vigyani ko bulaata hai. Ab archaeologist ko koyi kidnap
kartaa hai. Shehera ka inspector Narayana ( Rakshit Shetty ) ab char
gundon ko giraphtaar karke, ek bar me jaakar sharab pitaa hai. Sheher
ke ek journalist Lakshmi ( Shanvi Shrivastava) Narayan ko duty ke
time par station par nahi rehekar ,sharab pine keliye daatati hai aur
uska expose paper me karne ki dhamki deti hai., Jab vo BAR se nikaltaa
hai use Tukaaram aur uske gunde pakad letein hai.
Tukaaram
keheta hai vo char log uske aadami hai aur usine unko archaeologist
ke security keliye lagaaya tha. Ab vo usko chaar din ka time deta
hai, yadi vo chaar din me archaeologist lekar nahi aaya toh vo usko
nipataadenge. BAR ka malik, cowboy Krishna (Rishab Shetty) supaari
letaa tha, Tukaram ne Narayan ke haathon hi ek letter me uska supaari
likhakar Krishna ko bhejha tha hai. Lekin Narayan letter me apani supari
likhane ke bajaay, lakshmi ki press ke wan ko churane ka supari
likhataa hai.
Agale
din paper me Narayan ke kila[h buri khabar chapati hai par news paper
ko lejaane waale wan ko, Krishna ke chaar log churaa letein hai.
Lakshmi, police station jaakar Narayan ko complaint karti hai.
Narayan bhi naatak karke, wan dhundane ka vaada kartaa hai. Kuch time
baad wan ko rakhi jagaha ko lakshmi aur uske editor Sudhakar () ko
bulaata hai. Sudhakar ko halke se uske khilaaph kuch bhi bura nahi
likhane ka dhamki detaa hai.
Tabhi
uske wan se kisi ki chillane ki aawaz aati hai, pataachaltaa hai ki
vo, khoyahuva archaeologist hai. Narayan aur uske constable
Achyuthanna ( Achyuth Kumar ) ko pata nahi chaltaa ki vo vahan kaise
aaya. Ab Narayan is mauke ka phayidaa uthane keliye, paper ke editor
ko kehetaa hai ki paper me chaapo ki usine hi archaeologist ko dhundaa
hai. Agale din uski tasvir paper me chapati hai.
Ab
Jairam ke gunde aakar Narayan ko, Jairam ke paas lejaatein hai. Vahan
par Jairam uske kile me rehekar Tukaram keliye kaam kar rahe ek bande
ko pita raha tha, baad me use vo upar latakaa hai. Jairam ab Narayan ko daraakar sachhayi ugalvaata hai. Jairam ko pata lagta hai
ki Narayan ne archaeologist nahi dhunda, use vo wan me hi milgaya tha. Ab
Jairam Narayan ko maarane ka order detaa hai, dar ke maare Narayan
use vaada kartaa hai ki vo kaise bhi karke , us archaeologist ke
madad se us khajane ko dhunkar use laakar dega. Jairam ki kamzori vo
khajaana tha isliye vo maanjaata hai.
Ab
Narayana un drama company ke log jahan mare the vahan aataa hai aur
unki khabro kholkar suraag dhundane ki koshish kartaa hai. Lekin use
aur Achyuthanna ko unki haddi tak nahi milti. Isase Narayan ko lagtaa
hai ki koyi aur hai jo khazane ke baarein me jaanata hai aur unhone
hi un logon ki laash ko churaaya hoga.
Avane Shrimannaraayana in Hindi
Ab
Narayan un mare huve logon keliye ek shnti sabha kaa aayogan kartaa
hai. Us sabha me aaye sabhi logon par apani police ko nazar rakhane
keliye kehetaa hai. Vahan par chaar log dusare shehar se aaye the,
unpar use shuk hotaa hai, ab vo apane police ko unke piche lagaataa
hai.
Tukaram
bhi vahan aakar Narayan ko kehetaa hai, yadi vo Jairam ka madad
karega toh vo usko chodega nahi. Narayan ko pataa chaltaa hai ki
Tukaram ke baki aadami bhi, abhi bhi Jairam ke kile me khufiyaa jaasus ban ke rahe rahein hai. Ab vo use ulta dhamki detaa hai.
Ab
Narayana 24 ghante us archaeologist ke piche rehetaa hai. Vo chaar
log bhi ab archaeologist ka picha karne lagtein hai. Purnima ke din
vo log archaeologist kidnap karke apane jangal me, ek secret location par
lejaatein hai. Narayan aur achyuthanna unka pichaa kartein hai. Vo
dono , do aadamiyon ko behosh karke unke kapadon ko pehenkar jhund
me miljaatein hai.
Unko
pata lagtaa hai ki drama company ke log shehar shehar jaakar drama
karke paise kamaathe the. Unke maanyta ke mutaabik vo aakhari show
kiye bagair us shehar ko chod nahi skate the. Pichale 15 saal se vo
log shehar me alag alag naam se rehe rahe the. Har purnima ke din
jungle me milkar, unhe bachanewaala “ shri hari” ka intazaar kar
te the. Unki ek bhavishyaani ke mutaabik purnima ke ek raat ko, ek
garud panchi aakar us aadami ke haat par baitegaa jo “ shri hari “
hoga. Un chaaron ko lagtaa tha ki vo archaeologist hi “ shri hari”
hai , isliye unhone use kidnap kiya tha.
Avane Shrimannaraayana in Hindi :
Function
ke end me Narayana aur Achyuthanna pakade jaatein hai. Vo log gusse
me use maarane hi vaale the tabhi , jo 15 saal me nahi huva vo hotaa
hai. Ek garud panchi aakar Narayan ke haath par baitatha hai. Sab ko
yakin nahi hota ki unka “ shri Hari” milgaya hai. Sab log jhukar
Narayan ko pranam kartein hai, tabi vo dono vahan se bhag jaatein
hai.
Agale
din vo chaaro police station par Narayan se milane aatein hai.
Achyuthanna ko vo sabhi drama company ke log paagal lagtein hai. Jab
zor se puchane par vo bataatein hai ki vo 6 mare huve logon ne ek
naksha banaaya tha, khajane ko dhundane keliye. Par us nakshe ki
khabar unke marne ke saath hi gaayab hogayi. Narayan kehetaa hai ek
zinda aadami hai jise vo naksha maalum hoga, bandmaster. Achyuthanna
keheta hai ki 15 saal me vo paagal ho gaya hai, use kuch yaad nahi
hoga. Ab Narayan band master se milne jaata hai.
Raaste
me Lakshmi aakar keheti hai ki uski jaan khatare me hai. Un drama
company me se kayi log “ shri Hari’ ki kahani par vishwas nahi
karte.vo nahi chahate ki unki identity baahar aaye. Ab vo puri
sachhayi dikhane keliye Narayan ko ek sunsaan haveli me lejaati hai.
Vahan par Narayan ki pistol ko churaakar, apane saathiyon ke saath
milkar ,keheti hai ki, un 6 mare huve logon me uska baap bhi ek tha.
Usni ne khajana lutaa tha aur uski ke kaaran un sab ki zindagi haram
ho gayi. Isliye unhone us purnima ke din news paper ke editor,
Sudhakar ko “ shri hari “ banake bhejane ka plan tha. Unhone ek
garud panchi ko bhi train kiya tha, haath par baitane keliye. Lekin
Narayan ne sudhakar ko behosh kar ke, uski dress pehen kar, jhund me milgaya. Isliye garud panchi uske haath par bait gaya. Isme koyi
chamtkaar nahi hai.
Ab
Lakshmi, Narayan ko ek room me band kar ke chali jaati hai. Nayayan
ab chaalaki se vahan se bach kar Jairaam ke paas jaataa hai aur
kehetaa hai ki uske kile me abhi bhi Tukaram ke aadami hai. Vo 6
logon ko jhuti kahani me phasaata hai. Ab Jairam bhi un 6 logon ko
vaise hi maarne lagtaa hai jaise Rama Rama ne maaraa tha. Is scene ko
dekhakar bandmaster ki yaadaash kuch kuch vaapas aata hai par vo dar
ke maar kuch nahi keheta.
Jairam
ke aadami use kehetein hai ki vo police vaala unko phasa raha hai,
uski baat ko mat suno. Jairam ab confuse hokar Narayan ke saath sab
ko jail me band kartaa hai. Jail me vo log Narayan ko pitane ki
koshish kartein par par asali Tukaram ke aadami aakar Narayan ko
bachate hein. Ab Narayan, Tukaram ko kile par hamla karne keliye ek
message bhejata hai. Vo ab khud Jairam ke paas jaakar uski kanpatti
par banduk taankar use kile se baahar nikaalta hai. Tukaaram bhi ab
kile me aakar Jairam par hamla kartaa hai, kyunki usne Rama Rama ko
vachan diya tha ki Tukaram ko nahi maarega, isliye Jairam uspar hamla
nahi kartaa. Tukaram ab kile par kabja karke Jairam ko jail me
daalata hai.
Avane Shrimannaraayana in Hindi :
Narayan
bandmaster ko lekar jaata hai. Raaste me, achyuthanna aur dram ke
char logon se miltaa hai. vo jahag par ruk ta hai jahan vohi line
likhi thi jo vo bandmaster ab hamesha doharaa rahaa tha. Narayan ko yaad
aataa hai ki purane jamane me vo log line ko ulta bhi bolte the. Jab
Narayan us line ki code ko suljaata hai hai tab vo chaaron bataatein
hai ki vo line unki akhari show “ samudra manthan” ka hai. Ab
agali clue use us show me hi milnevaala tha.
Vo
ab lakshmi ke paas jaata hai. Bhavishvaani ke hisaab se yebhi tha ki
jo aadami ko lakshmi ka pyar milega vahi “ shri hari “ hoga. Ab
lakshmi, narayan se ek deal karti hai yadi vo logon ko us shehar se
jaane keliye kahega toh vo aur use saathi use zinda choda denge.
Iskelie vo sab ke saamane “ narayan hi uska pyar hai “ aisa jhut
bolane keliye bhi ready thi. Narayan maan jaata hai.
Narayan
ko khajaana chahiye tha, uska surag us akhari show me tha, isliye vo
un logon ko akhari show kar ke jaane keliye kehetaa hai. Ab show ka
theme tha “ samudra manthan ki kahani” . Us drama ke baad use
kayi saare clue miltein hai..
Lakshami
ko Narayan ki khajane ki laalach ke baarein me pataa chaltaa hai. Vo
use keheti hai ki sab ke under Narayan aur Ravan hotaa hai, uske pita
ne Ravan ka role kar kar ke Ravan hi bangaye. Uska bhi haal vaisa hi
hoga. Use vo svarthi keheti hai.
Udhar
Tukaram Abira ke kile ko aag lagane keliye apane gang se kehetaa hai.
Sab log har jagah petrol chidaktein hai. Isibeech Jairam bhi jail se
bhagkar sab ko marane lagtaa hai. Vo aakhir kaar vaapas apane kile ko
apane kabze me letaa hai. Tukaaram ko upar marne keliye latakaataa
hai. Apane aadamiyon ko drama company ke sabhi logon ko kidnap kar ke
laane keliye kehetaa hai.
Narayan
ko akhirkaar vo khajaana miltaa hai aur use lekar vo Jairam ke kile
par aataa hai. Vahan par vo Jairaam se kehetaa hai ki Rama Rama ke
shart ke mutaabik usane khajaana dhundaa hai isliye vo ab Abiron ke
naye leader hai. Ab leader ke taur par vo sab se kehetaa hai ki usne
kile ko aag lagaadiyaa hai, ab se abira kabila khatm, unsab ko ghar
jaane kelie kehetaa hai. Jairam aur Narayan ke beech ladayi hoti hai,
ladayi me Jairam kehetaa hai ki usne gaddi keliye apane baap Rama
Rama ko maar diya tha, toh vo usko kaise chodega. Lekin iska parinaam
Abira ke logon par ulta hotaa hai vo log ab Jairam ka support karna
chodkar kile se nikaljaatein hai. Unhein vo sachhai maalum nahi thi
.
Achyuthanna
sabhi drama ke logon ko kile se baahar nikaal taa hai. Narayan aur
Jairam ladate rehetein hai. Kuch time baad lakshmi dur se jalte huve
kile ko dekhakar Narayan ke mauth ka apasos manaati hai. Baad me
Narayan ghayal Jairam ko lekar aataa hai. Sabhi log, achyuthanna
khush hotein hai. Lakshmi ab Narayan ko maaph karti hai. Narayan
keheta hai ki uske under bhi bhagawan Narayan hai isliye usne jairaam ki jaan bajayi. Film yahi khtm
hoti hai.
Avane Shrimannaraayana in Hindi :
Tags : Avane Shrimannaraayana in Hindi, Hinglish Spoilers,bollywood movies,