Invictus in Hinglish | Hinglish Spoilers | Hollywood in Hindi
Hollywood Movie In Hindi : Invictus
2009 me aayi american-southafrican biographical drama film hai jo
1995 me, south africa me huvi rugby world cup match ki kahani keheti
hai. Kaise ek sport desh ko jod sakta hai, kaise ek sport dushmanon
ka dushmani mitaa saktaa hai, kaise ek sport desh ki diplomacy me
kaam aasaktaa hai.
South
africa me apartheid yaani rang bhed 1948 me officially shuru hokar
1990’s me khatm huva. South Africa me is dauran white aur black
logon keliye alag alag kaanun the, kaale logon ka shoshan kiya gaya
tha.Iska ek lamba khuni itihas hai. Nelson Mandela ne iske khilaaph
andaolan kiya tha isliye unko 1963 me zindagi bhar keliye jail me
daal diya gaya tha.
1980’s
ke dasak me jab south africa par economic sanctions lagne lage tab
vahan ki government african national congress (ANC) se apartheid ko
khatm kar ne keliye baatchit shuru ki. Olympics ne bhi 1964 se 1988
tak South Africa ko ban kiya tha. ICC aur anya kayi saari sport
organisations ne bhi unko ban kiya tha. Unme se ek tha International
Rugby Board (IRB) ( ab iska naam World Rugby hai) jisne bhi South
Africa ko rugby world cup me khelane par ban lagaayaa tha.
Film
ki shuruvaat hoti hai, 11th Feb 1990 ko, us din ANC ke
neta Nelson Mandela ( Morgan Freeman) ko 27 saal baad jail se rihaa
kiyaa gaya aur unpar lagi saari aaropon ko bhi maaph kar diyaa gaya.
Unke rihaa hone ke saath hi ANC me satta keliye aantarik ladayi shuru
huvi jisme kayi saare log maare gaye. Mandela aur South African
sarkar ke beech chali char saal ki baatchit ke baad, may 1994 me
peheli baar black logon ko vote ka adhikaar diya gaya. Peheli baar
Nelson Mandela South Africa ke ek black president bane.
Hollywood Movie In Hindi : Unke
saamane chunauti kayi saari thi, pachim ke sabhi deshon ne unpar
economic sanctions lagaa rakha tha. Desh me garibi, berojagaari,
bhukmari bahut jayda tha. Sipha 20% white log 80% economy ko control
karte the. Sarkar ki bureaucracy me sirph white log the. 1990 se 1994
ke beech ke samay me vahan ki sarkaar ne dhire dhire in asamaanataa
ko dur karne ki koshish kiya tha par saphal nahi huve the. 1994 ke
election me jyadatar white logon ne vote bhi nahi daala tha. White
logon ka Mandela ke prati dwesh ka bhavana abhi bhi har jagah tha.
Mandela
ab pehele din ki subha, apani office me president ke taur par charge
lene jaatein hai. News Paper ke headline the “ Mandela election
jeet saktein hai par kya vo sarkar chala saktein hai ? “. Ye ek
important savaal tha kyunki Mandela 27 saal tak jail me the unhe
sarkar chalane ka koyi anubhav nahi tha. Unke saamane white aur black
logon ke beech ke dushmani ko dur karke, desh ko jodane ka ek
important kaam tha.
Pehele
hi din unke office me kaam kar rahe kayi saare white officials apana
saaman baandhakar jaarahe the. Unko lagtaa tha ki Mandela sirph kaale
logon ko hi apane office me kaam keliye rakhenge. Mandela un jaate
huve officials ko roka kar kehetein hai ki unka kaam desh ko jodana
hai isliye yadi koyi vahan ruk kar kaam karna chaahata hai to unki
sarkaar unhe pura mauka degi.
Ab
Mandela ki security ka incharge tha Jason Tshabalala ( Tony Kgoroge)
jo ki ek black tha. Ab vo aur uski puri black security team ko char
naye officers ko shamil karne keliye kahaa jaata hai jo special
branch ke white officers the.
Jason ko ye baat achhi nahi lagti aur
vo Mandela se jaakar complaint kartaa hai ki, police ke special
branch ne hi , africa me zulm barsaaya tha. Unhone kayi logon ki jaan
liya tha, kayi ANC leaders ko marvaaya thaa. Jason keheta hai ki ab
aise sanstha se yadi vo security letein hai toh vo uskeliye khatara
hosaktein hai. Mandela ketein hai ki unhone pichale president ko bhi
sequrity diya tha, unhen unpar bharosa hai, yadi Africa ko jodana hai
toh uski shuruvaat unke sequrity team se hi hogi. Jason unse sehemat
nahi hotaa par phir bhi order maanataa hai.
Hollywood Movie In Hindi : Ab
vo apne team ke members ko, black and white ko, Mandela ke visits ka
monthly schedule detaa hai jisme se ek din unhen, England aur South
Africa ke beech hone vaali Rugby match ka udghatan karnaa tha. Is
match ko lekar Jasaon sab ko jyada alert rehene keliye kehetaa hai.
SA me sirph white log hi rugby ka fan the aur use khelate bhi the.
Ikka dukka khilade black ka hotaa tha, vo bhi aparthaid khatm hone ke
baad shamil kiya gaya tha. Cricket me bhi yahi haal tha.Jason ko
lagtaa hai ki Mandela par match ke dauran white logon se hamla hone
ka chance jyada hai .
South
Africa ka Rugby team ka naam tha Springboks aur uska kaptaan ka naam
tha Francois Pienaar ( Mat Damon). Saare black log is team se nafarat
karte the, unhe ye team africa ka national team nahi balki white
logon ka team lagtaa thaa. Isliye black bachhe bhi is team ki jarsi
yadi free me milajaay tobhi nahi pehenate the.
Ab
Mandela match ka udghatan karne jaatein hai, saare white log unke
khilaph naare lagtaatein hai. Match me South Africa ke te team buri
tarah haarti hai. Mandela apani secretary Brenda se crowds ke taraf
dekhane keliye kehetein hai, vahan aaye saare black log England
keliye naare lagaa rahe the aur saare white log Africa keliye. Jab
mandela jail me the tab vo bhi vaise hi karte the. Lekin ab unko hi
is dushmani ko mitaana padarahaa tha.
Match
ke dauran unko pataa chaltaa hai ki African sport committee jo ab
pure tarike se ANC workers se bhara pada tha, vo ab Springboks team
ko hi ban karne kane waale the. Iskeliye unhone resolution bhi paas
kardiyaa tha. Ab Mandela us committee ke meeting me jaakar unhe apana
phesala badalne keliye kehetein hai. Mandela ka kehena tha ki
springboks team white logon ka gaurav ka pratik tha, yadi vo log
apane dushmani me usko ban kardenge toh isase aapasi dushmani aur
bhadegi.
Maandela un logon ko aapasi dushmani bhulaakar desh ke hit
keliye, Springboks team ko chalu rakhane keliye manaa letein hai.
Agale saal 1995 me South Africa me Rugby world cup honaa tha, Mandela
duniya ko dikhana chahate the ki saare south africans dushmani
bhulkar aage badrahein hai. Desh ko jodane keliye sport ek achha
sadhan tha. Kuch conditions ke sath ANC workers maan jaatein hai.
Hollywood Movie In Hindi : Ab
Mandela duniya bhar me ghumkar africa me investment karne keliye
investers ko kehetein hai. Us waqt Mandela ki chavi dusare gandhi ki
tarah hogayi thi. Kyunki unhone bhi Gandhi ke principles ko follow
karte huve rang bhed ko haraaya tha.
Kuch
din baad Springboks ke captain Franscois ko Mandela ke office se ek
phone call aataa hai, use ek tea meeting keliye bulaayaa gayaa tha.
Franscois ne election me vote nahi diyaa tha, vo ek non political
sportsman tha, isliye vo Mandela se milne kolekar thoda nervous tha.
Mandela
, Franscois se kehetein hein ki desh ek jodane keliye unki team ka
worldcup me behatarein pradarshan jaruri hai. Vo ek victorian poem “
invictus” ki lines ko doharaakar kehetein hai use baaki aur team
members ko na sirph apani team keliye balki pure south africa keliye
khelana hoga. Ye uski duty hai desh ke prati. Mandela chahate the ki
Rugby team kadi mehenat karein aur kisi bhi halat me world cup jitane
ki koshish kare. Franscois bhi Mandela ko yakein dilaataa hai ki vo
apani taraf se puri koshish karegaa. Ab undono ki photo news paper me
chapati hai.
ANC
me kayi saare ugra black rastravaadi bhi jo Mandela ki vichar se
sehemat nahi the. Mandela aur uska family alag alag rehete the. Vo
jail jaane ke baad unki wife winnie mandela ne ANC aur apane parivaar
ko sambhala tha. Unhone bhi white police officers ki krurata ko
jhelaatha, vo bhi mandela ki policy se sahamat nahi thi. Mandela ki
beti unko Springboks se dur rehene keliye keheti hai. Vobhi ANC ke un
ugra black rastravaadi mese ek thi.
Ab
ANC ke conditions ke mutaabik Springboks ke team ko PR campaign ke
tehet desh bhar me ghumkar black bachhon ko rugby sikhana tha.
Springboks ke kayi khiladiyon ka maanana tha ki ek sport match 50
saal ke dushmani ko nahi mitaa saktaa. Vo naachate huve bhi is
excersize me shamil hotein hai. Black log africa me jaydatar slums me
hi rehete the, in white logon ne kabhi bhi apani zindagi me black
logon ki yaa bachhon ki garibi nahi dekhi thi. Black bacche sirph ek
black player Chester ke saath khelane me jayda ichhuk the. Dhire
dhire sabhi players un bachhon ke karib aane lage. Inki black bachhon
ko training dene ki video ko tv par chalaayaa gaya.Black log bhi ab
in players ki honest koshish ko dekhakar , dhire dhire unko support
karne lage.
Hollywood Movie In Hindi : Kuch
mahine baad 1995 me Rugby worldcup shuru hotaa hai. Worldcup me 16
teams thi, 4 groups me. choron me se ek ek team semi final ko jataa
tha aur usme jitane waali team final ko. Ab Franscois sabhi players
ko africa ka naya national anthem jo ki pehele ANC ka tha use
practise karne keliye detaa hai. Vo africana ( africana ek lanuage
hai) me tha english me nahi, kuch players directly mana kartein hai,
kuch use pranounce nahi karpaate aur kuch ko uska matlab samjha me
nahi aataa. Franscois kehetaa hai ki vo gaana optional hai aur uska
matlab hai “ God bless Africa”.
Worldcup
me unka pehelaa match arch rival Austrelia se tha. Mandela bhi ab
match se pehele sabhi khiladiyon se milkar unhe shubha kaamanaye
detein hai. Match ko dekhane keliye kuch black supporters bhi aaye
the. Match me south africa ke team jor shor se ladati hai aur
Australia ko hara deti hai. Sabhi players, mandela, unki security
team ke members , black & white supporters jasna manaate hein.
Agale
match se pehele Franscois apane sabhi team members ko lekar Robin
Island jaataa hai, jahan par vo jail tha jisme Mandela ne 27 saal
bitaayaa tha. Us jagaha ko ab ek museum ke taur par develop kiyaa
gayaa tha. Sabi logon ko ye dekhakar hairaani hoti hai ki kaise
Mandela ne apane zindagi ke 27 saal ek 4 foot ke chote se room me
bitaadi. Phir bhi unke man me koyi shikaayat nahi hai.
Ek
din subh ki walking ko jaate samay Mandelas gir jaatein hai. Doctor
unhen strictly aaram karne keliye kehetein hai. Springboks teeam bhi
ab lagaatar do match jeet kar semi final pahunchati hai. Ab pure
africa me Rugby ka josh badane lagaa tha. Saare black log bhi pure
josh se apane team ka support karne lage the. Semi Final me south
africa ka mukaabala France ke saath tha. Barish me bhi khel pure jor
se chaltaa hai aur aakhirkaar SA jeet jaati hai aur finals ko jaati
hai.
Finals
me unko NewZelend ke “ All Black Caps” ke khilaph khelanaa tha,
jisko duniya me Rugby superpower team ke tur per dekhajaataa tha. SA
ne 1921 ke baad kabhi bhi newzeland team ko kisibi match me haraya
nahi tha. Finals me pahunchte hi pure desh me ek deshprem ki leher
daudane lagti hai. Saare black aur white log apane team ko support
karne lagtein hai. Kayi dashak ke baad South African team ko Rugby
world cup me khelane keliye allow kiyaa gaya tha. Vo pehele hi chance
me finals tak gaye the. Sabhi expert maanate the ki unki team us ke
laayak nahi hai par sabko hairaan karte huve SA team finals tak gayi
thi.
Hollywood Movie In Hindi : Mandela
ke security team ke black log bhi ab free time me apane white friends
ke saath Rugby khelane lage the. Desh me ek khusi ka mahol tha.
Finals ki taiyari keliye Jason sabi members ko alert rehene keliye
kehetaa hai.
Match
shuru hone se pehele ek commercial plane, bina security ke permission
se stadium ke uper se udataa hai. Uske wings ke niche likha tha “
Good luck Bokke”.
Ab
finals ka match shuru hotaa hai. Mandela bhi Springboks ka jercy
pehenkar match ka udghatan kartein hai. Stadium naye south africa ke
flag se bhara pada tha. Is match ko duniya bhar me 100 karod log tv
par live dekhre the. Ab south Africa ka naya anthem bajaayaajaata hai
jo ANC ka anthem tha. Is anthem ko gaane vaale ko apartheid me time
me jail bhejaa jaataa tha lekin ab ise hi pure vishva ke saamane,
pure gaurav se bajaayaa jaaraa tha. ANC ke kayi ugra neta bhi ab
Mandela ki is koshish se khush the aur unki beti bhi ab unka support
karne lagi thi.
Stadim
me baithe saare log, players, aam janataa,officials saare log
national anthem gaatein hai. Desh me cerfew jaisa maahaul tha, sabhi
log apane tv aur radio ke saamane baite the.
Hollywood Movie In Hindi : Match
ki shuruvaat Black caps ke dance ke saath hotaa hai. Match shandaar
tarike se chaltaa hai aur anth me South African Springboks team world
cup jeet jaati hai. Sabhi log desh bhar me jasn manaane lagtein hai.
Franscois jeet ka sheya mandela ko, players ko aur pure 43 million
south africans ko detaa hai.
Mandela
aur Franscois ka ummed sach hotaa hai. Ek sport ne desh ke aapasi
dushmani ko kum kiyaa tha. Film black log ke jasna ke saath khatm
hotaa hai.
Pichali film : Happy Death Day 2 U
Tags : Invictus in Hinglish Hinglish Spoilers, Hollywood in hindi, Hollywood movie in hindi ,hollywood movies,hollywood film